ahal-e-daval me.n dhuum thii roz-e-sa_iid kii

muflis ke dil me.n thii na kiran bhii ummiid kii

itane me.n aur charKh ne maTTii paliid kii

bachche ne muskuraa ke Khabar dii jo iid kii

fart-e-mihan se nabz kii raftaar ruk ga_ii

maa.N-baap kii nigaah uThii aur jhuk ga_ii

aa.Nkhe.n jhukii.n ki dast-e-tihii par nazar ga_ii

bachche ke val-valo.n kii dilo.n tak Khabar ga_ii

zulf-e-sabaat Gam kii havaa se bikhar ga_ii

barchhii sii ek dil se jigar tak utar ga_ii

dono.n hujuum-e-Gam se ham-aaGosh ho gaye

ik duusare ko dekh ke Khaamosh ho gaye