Aaj main kitni Aazadi mahsos kar raha hoon,

Jism jaise maange karna bhool gaya,



Mann tarapna – tarapna bhool gaya,

Jeevan aaj jaise muthi me hai !

:

Maut jaise ek khel hai !



lagta hai aaj har lccha puri ho gayi . . .

Par ab maza dekho ,

aaj koi lccha hi nahi rahi !



Zindagi pighal kar Parkash ban gayi . . .

Aur sachai mera Roop hai !

Main rahonga !



Talwar se vaar karo,

main katonga nahi,

Tum Ahnkaar ho,

tumko marna hoga !

Main Aatma hoon,amar hoon !



Maut ye khel hai jaise ,

Jindagi ye khayaal hai !

Na sukh hai,

Na dukh hai,

Na deen hai,

Na duniya,

Na insaan,

sirf main hoon,

ha sirf main hoon .