Category: Shayari E Husn

  • Kitna roshan hai tera chehra mere hamdam

    Kitna Roshan Hai Tera Chehra Mere Hamdam… Diya Jalane Ki Abb Kise Fursat Hai… By Jerry G

  • Surme ka til laga ke nukta bhada

    Surme Ka Til Laga Ke Nukta Bhada Rehe Ho Kuda Ki Kitab Mein Ya To Kar Le Naqaab Ya Ho Ja Benaqaab Ya Phir Chupa Le Mujhe Bhi Naqaab Mein

  • Shor dil mein kuch machta hain jub

    Shor Dil Mein Kuch Machta Hain Jub Dheere Se Usme Basne Lagata Hain Bechaniya Dil Mein Badhata Hain Jub Baatein Wo Karne Lagta Hain Neende Wo Uda Le Jaata Hain Jub Aankho Mein Wo Utar Jaata Hai Phool Hain Chand Hain Kya Lagata Hain Bheed Me Sab Se Juda Lagata Hain Uski Kurbat Me Ajab […]

  • Teri lehrati julfe na jane kya kehti

    Teri Lehrati Julfe Na Jane Kya Kehti Hai, Teri Jhuki Najro Ko Dekh Kar Log Kya Kehte Hai, Humne Suni Hai Aapki Tareef Apne Kaano Se, Log To Aapko Tajmahal Kehte Hai. By Suyog

  • Mitti ki anokhi murat ho tum zindagi

    Mitti Ki Anokhi Murat Ho Tum Zindagi Ki Ek Zarurat Ho Tum Phool To Khubsurat Hote Hai Phoolo Se Bhi Khubsurat Ho Tum

  • Khoobsoorat ho tum sheeshe ke mahal ki

    Khoobsoorat Ho Tum Sheeshe Ke Mahal Ki Tarah, Kashish Bhi Hai Adawon Mein Galib Ki Ghazal Ki Tarah. Nikla Karo Bach Ke Hawawon Se, Kyunki Nazuk Bahut Ho Tum Kanwal Ki Tarah. By Sahil Verma

  • Khubsoorat hai woh lub jo pyaari baatein

    Khubsoorat Hai Woh Lub, Jo Pyaari Baatein Karte Hai, Khubsoorat Hai Woh Muskurahat, Jo Kisi Chehre Pe Muskan Saja De, Khubsoorat Hai Woh Dil, Jo Kisi Or Ke Dard Ko Bhi Samjhe, Khubsoorat Hai Woh Jazbat, Jo Kisi Or Ka Bhi Ehsaas Kare, Khubsoorat Hai Woh Ehsaas, Jo Kisi Ke Dard Mein Dawa Bane, Khubsoorat […]

  • Wo chanchal shokh aadian aakho ka kajal

    Wo Chanchal Shokh Aadian Wo Aakho Ka Kajal Wo Chahre Ka Noor Wo Hotho Ki Lali Wo Boli Koyal Wali Wo Chupke Se Sharmana Tera Wo Lachakte Hue Panghat Pe Jana Tera Aaisa Lagta Hai Aayi Hai Kahi Kisi Hi Jahan Se Banai Gai Hai Mere Liye‚  Ye Dil Hai Teri Khatir Tujhe Pane Ke […]

  • Jab gori kalayi mein tumhari chooriyan hai

    Jab Gori Kalayi Mein Tumhari Chooriyan Hai Khankati To Lagta Hai Jaise Koi Koyal Hai Chahakti Tumhara Roop Rang Kuch Is Tarah Samaya Hai Dil Mein Meri Har Saanson Mein Tumhari Khusboo Hai Mahkati Ye Chanchal Chitwan,Chaand Sa Chehra Aur Ye Patli Kamar Bhigo Dene Ko Tumhen Barish Hai Barashti Ye Uljhi Julfen Aur Un […]

  • Ae shayar mere husn ki taarif na

    Ae Shayar Mere Husn Ki Taarif Na Kar Kya Hai Jo Tu Taarifon Ke Pul Bandhta Hai Meri Bhi Waisi Hi Ik Naak Hai Jaisi Teri Meri Aankhen Bhi Waisi Hi Hain Jaisi Teri Julf Hai Tujhse Thori Bari Lekin Woh Bhi Waisi Hi Hai Kaali Jaisi Teri Sine Main Mere Bhi Teri Tarha Hi […]

  • Husn par jaane kya likhkar maar gaye

    Husn Par Jaane Kya Kya Likhkar Maar Gaye Shayar Par Yeh Husn Walethe Itne Bedardi The Ki Na Hua Inhe Ehsaash Unke Aane Aur Jane Ka Kyuki Inhe Husn Ke Alawa Kuch Na Dikta Tha Aur Jab Kuch Dikhega Inhe Tab Houngi Inke Chehre Par Zuriyaan

  • Koi bhi likh nahi sakta tujh par

    Koi Bhi Likh Nahi Sakta Tujh Par Kuch Lafz Bhi Mohabbat Ki Nigahon Se Jo Tu Is Dil Mein Likhi Hui Prem Geet Teri Kavita Ek Aisi Kavita Hain Kisi Rasik Ki Baatein Jaisi Jaisi Ek Phool Khili Jaisi Chand Chali Madhu Ke Liye Do Hoton Mili Jaisi

  • Aap chahe bole jo bhi boli toh

    Aap Chahe Bole Jo Bhi Boli, Aap Toh Hai Is Dil Ki Humjoli, Ab Chahe Ho Mausam Mein Diwali Ya Holi, Aapki Muskan Toh Bana Deti Hai Rangoli. By Mohit Bhatt

  • Mere khwabon ki malika hai tu na

    Mere Khwabon Ki Malika Hai Tu, Na Tujhme Kahin Koi Kami Hogi, Jo Na Bhi Hua Tere Pass Koi, Roop Ka Khazana Toh Kya, Hai Yekeen Ye Mujhe, Dil Ki Tu Sabse Haseen Hogi. By Rajat

  • Palko par na jugnu sajay karo ankho

    Palko Par Na Jugnu Sajay Karo Ankho Mein Na Kajal Lagaya Karo Main To Mar Jaaunga Teri Saadgi Par Kajal Se Gaal Par Til Na Banaya Karo

  • Kya tareef karoo unke husan ki khuda

    Kya Tareef Karoo Unke Husan Ki Khuda Ne Unhe Apne Hattho Se Banaya Hai Unke Khoobsurat Cehre Ko Heere Motiyon Se Sajaya Hai Unki Haseen Ankho Main Samandar Ka Neela Paani Milaya Hai Unhe Dekh Kar Aisa Lagta Hai Jaise Khuda Ne Bus Mere Liye Banaya Hai Rasham Si Unki Zulfoon Hontho Ko Gulab Ke […]

  • Gujartein hain wo saamne jab bhi mere

    Gujartein Hain Wo Saamne Jab Bhi Mere, To Yeh Mousam Haseen Ban Jata Hai, Udti Hui Unki Zulfon Ke Saaye Mein, Chand Bhi Aksar Sharma Jata Hai, Tareef Nahin Kar Sakta Unki Chand Alfazon Mein, Yeh Dil Itna Unpe Marta Hai Ki Shayar Ban Jata Hai. By Akash Chauhan

  • Woh roop yauwan niree shokh chhataa jisne

    Woh Roop Woh Yauwan Woh Niree Shokh Chhataa Jisne Dekhi Na Tere Dar Se Woh Phir Door Hataa Gore Mukhde Par Wo Bikhri Hui Baalon Ki Latein Chaand Ko Jaise Liye God Ho Sawan Ki Ghataa

  • Dil ki nahi jaan jarurat ho tum

    Dil Ki Nahi Jaan Ki Jarurat Ho Tum, Zami Ki Nahi Aasmaan Ki Inayat Ho Tum, Aur Ab Hum Kya Aapki Tareef Kare, Husn Ki Nahi Kayamat Ki Murat Ho Tum. By Mohit Bhatt

  • Kya soch ker tere husn kee taameer

    Kya Soch Ker Tere Husn Kee Taameer Kee Hogi, Kya Soch Ker Khuda Ne Tujhko Banaya Hoga. Badi Pyari Lagi Hogi Usko Bhi Teri Soorat, Jub-Jub Naqab Tere Rukh Se Hawa Ne Hataya Hoga. By Sahil Verma

  • Mujh se kiya perda hai chalo utha

    Mujh Se Kiya Perda Hai Chalo Utha Deta Hoon Tumhen Dekh Ker Ik Ghazal Sunaa‚  Deta Hoon Koi Chaand Ho Sooraj Ya Aasmaan Ka Tara Tere Cherey Ko Kya Kya Bana Deta Hoon Phool Kalyaan Khushboo Bikhri Hon Charsoo Aaj Sara Gul O Gulzar Saja Detaa Hoon Tum Se Mil Ker Ye Ehsaas Ho Raha […]

  • Rote rote hansi aa gayi dekho humko yaar

    Rote-Rote Hansi Aa Gayi Dekho Humko Yaar Jab Humne Kiya Apne Pyare Yaar Ka Deedar Uske Chehre Mein Na Jaane Kaisi Hai Kashish Mujhko Usne Kiya Deewana Bhoola Mein To Apni Service So Na Paau Raato Ko Sochu Usko Her Ek Pal Usne Mera Aaj Sajaya Aur Sajayegi Ab Kal

  • Tu har ek baat pe hans deti

    Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai Aur Main Soch Mein Parh Jaata Hoon Ye Teri Saada-O-Masoom Hansi Aankh Ki Bhool Samaaat Ka Fasoon Teri Aadat Tera Andaaz Na Ho Betakalluf Tere Honto Ki Chatak Meri Khushfehmi Ka Aijaaz Na Ho

  • Ek se shararat aapki dil khush kar

    Ek Se Ek Shararat Aapki, Dil Khush Kar Dene Ki Aadat Apki, Hum Rahe Na Rahe Apke Is Jahan Me, Yeh Dua Hai Ki, Salamat Rahe Hamesha Ye Muskurahat Aapki. By Sarfaraj Ahmad

  • Aapke aane se khil gaya hai aangan

    Aapke Aane Se Khil Gaya Hai Aangan, Aaapke Saath Se Jhoom Untha Hai Gagan, Aap Ho Isiliye Khush Hai Sara Chaman, Aur Aapse Pyar Karne Ko Hum Lenge Hazaron Janam. By Mohit Bhatt

  • Kudrat ne sanam tumko kya shokh ada

    Kudrat Ne Sanam Tumko Kya Shokh Ada Dee Hai Julfon Mein Diye Jadu Aankhon Mein Haya Dee Hai Honthon Pe Gulabipan Galon Mein Saza Di Hai Mehboob Mere Humdum Mere Dil Ne Dua Di Hai

  • Sipiya khul gayi tumhe chhukar dhup shital

    Sipiya Khul Gayi Tumhe Chhukar, Dhup Shital Ho Gayi Tumhe Chhukar, Tum Jo Aayi Raat Mein Bahar, Chandni Jal Gayi Tumhe Chhukar. By Dashrath Patidar

  • Aap jab saamne se guzar jaate hai

    Aap Jab Saamne Se Guzar Jaate Hai Armaan Dil Ke Ubar Aate Hai Dekhkar Aapki Pyaari Soorat Sahme Hue Phool Bhi Nikhar Jaate Hai

  • Apke chehre per muskurahat saje aise pholon

    Apke Chehre Per Muskurahat Saje Aise, Pholon Per Shabnam Chamakti Hai Jaise, Sapne Poore Hon Aap Ke Saare, Dua Hai Meri Yeh Lafz Aap Ki Zindgi Ko Nikhare. By Gul

  • Jee chahta hai kisi roz tumhey sajaoun

    Jee Chahta Hai Kisi Roz Tumhey Sajaoun Tum Baithi Raho Main Dekhta Jaaoun Main Tumhari Palkoun Ko Choum Ker Tumhari Aankhoun Mein Doob Jaaoun Maathe Pey Jou Paseena Hai Zara Tum Mujhey Dena Main Ark-E-Gulaab Banaoun Kaanptey Honto Ko Ungli Se Chooun Hountoun Ki Guftugu Phir Douhraoun Yahan Bhi Bastey Hain Andherey Hazaar Is Raat […]

  • Bahut khubsurat gazal likh raha hoon tumhe

    Bahut Khubsurat Gazal Likh Raha Hoon Tumhe Dekh Kar Aaj Kal Likh Raha Hoon Tumhare Jawa Khusurat Badan Ko Tarasha Hua Ek Mahel Likh Raha Hoon Na Pocho Meri Bekharari Ka Alam Main Ratoon Ko Karwat Badal Raha Hoon Bahut Khubsurat Gazal Likh Raha Hoon Tumhe Dekh Kar Aaj Kal Likhraha Hoon

  • Us muskurahat ki tarz par jab chhedi

    Us Muskurahat Ki Tarz Par Jab Chhedi Humne Ik Gazal Sar Jhuk Gaye Phoolon Ke Patthar Bhi Ban Gaye Rehbar

  • Haal aasma8217n ke chand ka kya hua

    Haal Aasma’n Ke Chand Ka Kya Hua Hoga, Jub Mere Chand Ne Chandni Ka Jalwa Kiya Hoga. Aur Bhi Hasi’n Nazer Aayi Hogi Uski Soorat, Jub Aainey Se Usne Parda Kiya Hoga. By Sahil Verma

  • Husn afroz kahaan tak bhalaa chhupaaougey na

    Husn Afroz Kahaan Tak Bhalaa Chhupaaougey? Na Sahee Aaj, Kabhee To Nazar Mein Aaougey? Chaandnee Raat Mein, Mahtaab Chhupeygaa Kaisey? Naqaab-E-Abra Kahaan Hai, Ki, Audhh Paaougey? Eik Arsey Sey Kharhaa Dar Pai Muntazir Huun Mein! Tishnagee Barhh Rahee Hai: Noor-E-May Pilaaougey? Khilkhilaahat Hai Mahalley Mein, Ruaansaa Hun Mein! Sochataa Huun, Shareek Hokey Khilkhilaaougey!! Umar Hee […]

  • Karam hai ki tum ne bulaaya hum

    Karam Hai Ki Tum Ne Bulaaya Hai Hum Ko Kaleyzey Se Apney Lagayaa Hai Hum Ko Tumhain Jaankar Bhi Nahi Jaanta Tha Shub-O-Roz Jalwa Dikhayaa Hai Hum Ko Jahannum Waheen Hai Jahaan Tum Nahi Ho Tarannum Mein Pariyon Ney Gaayaa Hai Tum Ko Tumhara Kaheen Bhi Muqaabil Nahi Hai Khuda Ney Alug Sey Banaayaa Hai […]

  • Chupa liya hai anchal mein jis chand

    Chupa Liya Hai Anchal Mein Jis Chand Ko Usey Be Nakab To Hone Do Bayan Karenge Hale Dil Hum Bhi Ek Baar Deedar To Hone Do Kya Gazab Ka Husn Paya Hai Tune Ke Niyat Dol Gayi Meri Dekh Lun Tumhe Ek Baar Jee Bher Ke Bus Yehi Arzu Hai Meri Teri Ankho Se Mai […]

  • Saja kar apni hi aankh hazaar chehron

    Saja Kar Apni Hi Aankh Hazaar Chehron Pe, Kiya Hai Maine Sada Aitbaar Chehron Pe, Main Teri Bazm Me Kis – Kis Se Dushmani Leta, Likha Tha Naam Tera Be-Shumaar Chehron Pe. By Gurpreet Singh

  • Masunmiyat ki murat ho khuda banai koi

    Masunmiyat Ki Murat Ho Khuda Ki Banai Koi Surat Ho Teri Khushiyon Ko Kisi Ki Lage Na Nazar Teri Zindgi Or Bhi Khubsurat Ho

  • Aaj fir lab pai un kaa naam

    Aaj Fir Lab Pai Un Kaa Naam Aaya Un Kaa Nazrain Uthaanaa Kaam Aaya Jaantaa Un Ko Koun Tha Kal Tak Husn-E-Awal Hain Woh Inaam Aaya

  • Husan lajbab hai teraa aankh jhooktee nahi

    Husan Lajbab Hai Teraa Aankh Jhooktee Nahi Milne Ke Baad Bekar Hai Sab Ek Bar Dhoop Lagne Ke Baad Jado Hai Tere Nayano Mein Fas Jata Hai Dil Ek Bar Jhankne Ke Baad Bekar Hai Nayan Hai Sharm Haya Nahi Hai Lab Hai Laal Gulab Khila Ho Jaise Mandraate Hai Hajar Bhanware Kis Kam Ke […]

  • Unki aahtoon se sare jawan dil dhadakh

    Unki Aahtoon Se Sare Jawan Dil Dhadakh Jate, Unki Khushabu Se Saare Chaman Mehakh Jate, Jab Aate Bagoon Mein Phool Ko Sokh Kar Jate, Dekh Ke Unki Jawani Sare Bhaware Behakh Jate, Jab Hawa Mein Lehra Unki Julfe,Chehara Chhuti, Uff Allah Sard Diloon Mein Bhi Shoole Dehakh Jate, Bina Kuch Kiye Jab Woh Nazron Se […]

  • Teri ik chap sunte hi gulshan ka

    Teri Ik Chap Sunte Hi Gulshan Ka Tamam Rang Badal Gaya Urr Gaye Phulon Ki Hasin Rangat Kho Baithe Gul ApnƒÂ® Lali!

  • Jo dekhe chehra unka mere aankhon mein

    Jo Dekhe Chehra Unka Jo Mere Aankhon Mein Hai Wo Sab Haseen Chehron Ko Bhoola De Agar Wo Thoonk Dein Samader Mein Namkeen Paani Ko Bhi Meetha Banaa De Aisa Hai Unka Husn Main Kya Bataaon Tumhe Unki Awaaz Se Kabar Pe Sone Walon Ko Bhi Jagaa De Taareefein To Bahot Niklengi Unki Shaan Mein […]

  • Tera husn dekh ke farishte bhi ghabra

    Tera Husn Dekh Ke Farishte Bhi Ghabra Jaate Hai Pariyaan Parda Kar Leti Hain Sharam Ke Saath Kis Khuda Ne Hai Banaya‚  Kis Jannat Se Ho Aai Socha Hai Koi Bharam Jab Dekha Tumhe Taarron Ki Raat Chand Bhi Chandani Se Bewafai Karne Ke Liya Hai Tayaar Galti Se Hi Kar Diya Jo Tumne‚  Uski […]

  • Ye aankhein jhumke kangan us par nagin

    Ye Aankhein, Ye Jhumke, Ye Kangan Us Par Ye Nagin Si Zulfein Teri, Tu Qatil Hai Magar Dil Se Laga Lene Ke Qabil Hai. By Mairaj Saifi

  • Yu achanak se aa jaati ho saamne

    Yu Achanak Se Aa Jaati Ho Saamne Ki Mein Kuch Bhikeh Pata Nahi, Kaya Kahu Tere Husn Ke Sajjde Mein Ke Koi Shayer Bhi Yaad Aata Nahin.

  • Dil pe sabat naqsh e nihaan tere jamaal ke

    Dil Pe Sabat Naqsh-E-Nihaan Tere Jamaal Ke Tu Hi Bataa Rakh Loon Kahaan Mein Dil Nikaal Ke Hai Husn Vo Kaajal Salasal Rarhkataa Rahe Mumkin Nahin Hai Bhoolnaa Aankhon Mein Daal Ke Unkii Bhi Tahsiin-E-Ziya Terii Mushaabahat Maah-O-Anjum Jo Mustahaq Terii Misaal Ke Bustaan Kah Lijiye Yaa Mausam-E- Bahaar Qisse Barang-E Gul-O-Buu Husn-E-Kamaal Ke Nagmaa […]

  • Ullhad shuakh jawani hi tum roop nagar

    Ullhad Shuakh Jawani Hi Tum, Roop Nagar Ki Rani Ho Tum, Eshq Safar Ke Sehraaoun Mein, Thanda Meetha Paani Ho Tum, Mein Houn Jaltey Suraj Jesa, Aur Ek Shaam Suhaani Ho Tum, Dunya Aankhein Mal Mal Dekhey, Sar Ta Pa Hairaani Ho Tum, Apney Bakht Pe Naaz Karega, Jiss Raja Ki Raani Ho Tum. By‚  […]

  • Dil chahta hai teri ankhon per kuch

    Dil Chahta Hai Teri Ankhon Per Kuch Aur Likhon Har Tarha Likh Chuka Hoon Ab Kis Tor Likhon Ab To Har Koi Inhain Jaan Lewa Kehta Ha Main Bhi Tasdeeq Karon Ya Zmaney Ka Shoore Likhon Ab Muje Chahiye Ke Teri Awaz Ko Rabab Kahon Aur Sochta Hoon Khubsorti Ko Masal Moor Likhon Teri Nazuk […]

  • Aap se ek baat kaheni thi bura

    Aap Se Ek Baat Kaheni Thi Bura Na Maan Jana Kahi Gajab Ki Hai Aap Ki Hasi Is Kadar Dil Khol Ke Haste Maine Kisi Ko Dekha Nahi Khuda Aap Ke Hasi Hamesha Barkarar Rakhe

  • Tu hai to ye kaynat khushboo aye

    Tu Hai To Ye Kaynat Hai Ye Khushboo Hai Aye Dost Tujhse Hi To Ye Gulshan Ye Manjar Hai Ye Waqt Ye Ghadiya Sub Teri Hi Gulami Karte Hai Tera Hi Dum Pe To Sab Naakamyab Bhi Kamyabi Ki Aahai Bharte Hai Tu Zami Hai Aur Aasma Bhi Hai Tu Khamoshi Hai Aur Masti Ka […]

  • Kab dil ko hum ne waqf e tamanna na

    Kab Dil Ko Hum Ne Waqf-E-Tamanna Na Kiya Tha Tab Se Kiya Tha Jab Shuroo Chalna Na Kiya Tha Jaise Kiya Hai Haalat-E-Dil Ko Mere Kharaab Ye Haal Tu Ne Ishq Kisi Ka Na Kiya Tha Kerte The Apne Aap Se He Khud Kalamian Rasta Sukhan Ka Aap Se Jab Wa Na Kiya Tha Be […]

  • Sab kuch milta hai bas ek khudai

    Sab Kuch Milta Hai Bas Ek “Khudai” Ke Siwa, Zindagi Bahut Pasand Aayi Ek “Ruswai” Ke Siwa, Meri Chahat Ka Ehsas Bhi Na Kar Sako Ge Tum, Us Ki Har Ada Pasand Hai Ke “Bewafai” Ke Siwa. By Noor Alam

  • Ae husn wale tu na kar itna

    Ae Husn Wale Tu Na Kar Itna Guman Aapne Is Husn Par Ke Hum Tere Husn Par Nahi Teri Shaadgi Par Marte Hai Maana Ke Kaatil Hai Teri Jawaani Par Hum Teri Jawaani Pe Nahi Marte Hum To Un Do Aankhon Pe Marte Hai Jis Mein Hume Sachayi Nazar Aati Hai Maana Ke Chand Si […]

  • Ankhon mein sharam maathe pe pasina khuda

    Ankhon Mein Sharam Maathe Pe Pasina Khuda Ka Ho Tum Tarasha Nagina Chaal Bhi Tumhari Qayamat Dhati Hai Itna Husn Kahan Se Laayi Hasina

  •  Â¤Å— Â¤Â¿ Â¤Â¸ Â¥Â Â¤Â® Â¥‘’¡  Â¤— Â¤Â¾ Â¤- Â¤Â¼ Â¥  Â¤Â® Â¥‘’¡

     Â¤Å— Â¤Â¿ Â¤Â¸ Â¥Â Â¤Â® Â¥‘’¡  Â¤— Â¤Â¾ Â¤- Â¤Â¼ Â¥  Â¤Â® Â¥‘’¡ Â¤‘’š  Â¤- Â¥Â Â¤Â¯ Â¤Â¾  Â¤Â Â¤Â² Â¤Â¾  Â¤Â¹ Â¥Ë†  Â¤Âµ Â¥‘’¹  Â¤Â¹ Â¥Ë†  Â¤- Â¥‘’¹ Â¤Ë†  Â¤Å¡ Â¥ Â¤Å—  Â¤Â¯ Â¤Â¾  Â¤Â¹ Â¤Âµ Â¤Â¾  Â¤Â¹ Â¥Ë†  Â¤Âµ Â¥‘’¹  Â¤Â… Â¤Â¿ Â¤Â²  Â¤Â® Â¥‘’¡ Â¤‘’š  Â¤Å¡ Â¤Â¾ Â¤Â¹ Â¤Â¤  Â¤Å— Â¥Â Â¤Â Â¤Â¾ Â¤Â  Â¤Âª Â¥‘’¡  Â¤- Â¤Â¡ Â¤Â¼ Â¤Âµ Â¥  Â¤Â Â¤Â¾ Â¤Â¤  Â¤Â¹ Â¥Â Â¤Â¸ Â¥Â Â¤Â¨  Â¤Âµ Â¤Â¾ Â¤Â² Â¥‘’¹ Â¤‘’š  Â¤- Â¥  Â¤‘’¡ Â¤-  Â¤… Â¤Â… Â¤Â¾  Â¤Â¹ Â¥Ë†  Â¤Âµ Â¥‘’¹  Â¤- Â¥Å’ Â¤Â¨  Â¤Å— Â¤Â¾ Â¤Â¨ Â¥‘’¡ Â¤– Â¤Â¾  Â¤‘’¡ Â¤Â¶ Â¥Â Â¤- Â¤Â¼  Â¤Â¸ Â¥‘’¡  Â¤Â Â¥Â Â¤- Â¤Â° “ Â¤Â¹ Â¥Â Â¤Â¸ Â¥Â Â¤Â¨  Â¤- Â¤Â¹ Â¤Â¤ Â¥‘’¡  Â¤Â¹ Â¥Ë† Â¤‘’š  Â¤Å— Â¤Â¿ Â¤Â¸ Â¤- Â¥‘’¹  Â¤- Â¥Â Â¤Â¯ Â¤Â¾  Â¤Â¹ Â¥Ë†  Â¤Âµ Â¥‘’¹”  Â¤… Â¤Å— Â¤Â¨ Â¤Â Â¥  Â¤Â¹ Â¥Ë†  Â¤Â® Â¤– Â¤Â°  Â¤Â® Â¤Â¿ Â¤Â² Â¤Â¾  Â¤Â Â¤Â¸ Â¥‘’¡  Â¤Å— Â¥Ë† Â¤Â¸ Â¥‘’¡  Â¤Â® Â¥Â Â¤Â… Â¥Â Â¤Â… Â¤Â¤  Â¤Â¸ Â¥‘’¡  Â¤Å— Â¤Â¾ Â¤Â¨ Â¤Â¤ Â¤Â¾  Â¤Â¹ Â¥Ë†  Â¤Âµ Â¥‘’¹  Â¤Â¡ Â¥‘’¹ Â¤Â°  Â¤‘’  Â¤Â Â¤— Â¥‘’¹ Â¤‘’š  Â¤Â® Â¥‘’¡ Â¤‘’š  Â¤Âµ Â¥‘’¹ […]

  • Bahut hasin lag rahe the aap us

    Bahut Hasin Lag Rahe The Aap Us Din Nigahon Se Kiya Katal Aapne Us Din Ruk Gayi Sansee Bandh Hui Darkan Na Kar Paye Hum Tarif Aapki Us Din

  • Ek bholi si surat hogi do kajrare

    Ek Bholi Si Surat Hogi Do Kajrare Naina Jhilmil Hoth Gulab Ke Pankho Sephoolo Ki Mehek Sanson Mein Shamil Galon Mein Suraj Ki Lalimathe Par Pyari Si Bindiya Kesh Kaale Baadal Se Ada Uda De Jo Nindiya Muskan Ke Jaise Bagon Mein Phoolo Ka Khilna Hoga Lachak Kamar Ki Hogi Aisi Jyu Nadiyon Ka Mudna […]

  • Sundar roop tumhara gora mukhra kitna pyaara

    Sundar Sundar Roop Tumhara Gora Mukhra Kitna Pyaara Dekhe Koi Nazar Lag Jaaye Ek Pal Bhi Woh Reh Na Paye Par Phir Bhi Tum Na Jaane Kyon Mujhko Nahin Suhati Ho Jaanam Tum Meri Nazaron Mein Aur Bhi Girti Jaati Ho Jaanu Jaanam Darling Jaise; Shabd Tumhare Kahan Kho Gaye Aaj To Bas Tum Yun […]

  • Kisi charsi bewaday ki baatli ho tum

    Kisi Charsi Bewaday Ki Baatli Ho Tum Kya Bemaar Ho Bahut Patli Ho Tum Barson Pehle Howa Koi Kasoor Ho Tum Ped Pe Latka Howa Koi Khajur Ho Tum Bin Baadal Ke Jaise Barkha Ho Tum Khadi Banti Hai Jisse Wo Charkha Ho Tum Kitni Tareef Karoun Ke Kya Ho Tum Eek Hi Kaafi Hai […]

  • Kisi ko paas aane mein waqt lagta

    Kisi Ko Paas Aane Mein Waqt Lagta Hai, Kisi Ko Apna Banane Mein Waqt Lagta Hai, Jab Manga Khuda Se Apko, Usne Kaha “Anmol Cheez Pane Mein Waqt Lagta Hai”. By Muskaan Rida

  • Phir ek shaam aayi aapki yaadon ko

    Phir Ek Shaam Aayi Aapki Yaadon Ko Lekar, Phir Ek Raat Aayi Aapka Khayaal Lekar, Aap Aana Chaaho Yaa Phir Na Hi Aana Chaaho, Her Ek Khwaab Aata Hai Aapki “Pyari Surat” Lekar. By Ruhin Shaikh “Rohi”

  • Phoolon se achi uski khushboo kaliyon pyari

    Phoolon Se Achi Uski Khushboo Kaliyon Se Pyari Muskaan Sitaaron Sa Chamakta Hua Chehra Koyal Se Meethi Zabaan Chand Bi Chup Jaye Yeh Keh Ke Asmaan Se Ab Kiya Mera Kaam Chandni To Aa Nikli Zameen Se Kesi Hai Yeh Qudrat Ki Shaan Fursat Se Banaya Hoga Rab Ne Farishton Ka Nahin Yeh Kaam Mitti […]

  • Tujh ko dekhege to sitaare bhi ziyaa

    Tujh Ko Dekhege To Sitaare Bhi Ziyaa Mangege Aur Pyaase Teri Zulfon Se Ghataa Mangege Apne Kaandhe Se Dupatta Na Sarakne Dena Warna Boodhe Bhi Jawaani Ki Dua Mangege

  • Unhon ne baalon mein phool lagaane ka sabab

    Unhon-Ne Baalon Mein Phool, Lagaane Ka Sabab Ye Bataaya Hai, Log Dekh Len Khuda Ne Kise, Jyada Khoobsoorat Banaaya Hai. By Pramod Kumar Sharma

  • Phool khilkar udaas hai samandar ko aaj

    Phool Khilkar Udaas Hai, Samandar Ko Aaj Paani Ki Pyaas Hai, Ek Baar Aap Muskura Do Sanam, Kyonki Khuda Ko Duniya Ki, Sabse “Khubsoorat” Hansi Ki Talaash Hai. By Sarfaraj Ahmad

  • Teri tareef mein kya likhu ab kitabo

    Teri Tareef Mein Kya Likhu Ab, Kitabo Mein Nhi Samata Hai, Kehta Hai Dil Rone Ko, Jab Samne Tu Aata Hai. By Ashish Purohit

  • Husan ko chand jawani kawal kehte hain

    Husan Ko Chand jawani Ko Kawal Kehte Hain Dekh Kar Hum‚  Tujhe Shoghazal Kehte Hain Uff Yeh Sange Marmal Sa Atarasha Hua Shaffaf Badan Dekhne Wale Tujhe Taj Mahal Kehte Hain

  • Chand ke nikalne se dikhti hai aapki

    Chand Ke Nikalne Se Dikhti Hai Aapki Jhalak, Aap Samne Hote Ho Toh Na Jhapakti Hai Palak, Aapke Aage Fiki Lagti Hai Hire Ki Chamak, Aur Aapse He Toh Aati Hai Zindagi Mein Raunak. By Mohit Bhatt

  • Karne lage tawaf jahan poojne daste hunar wahi

    Karne Lage Tawaf Jahan Poojne Lage Daste-Hunar Wahi Hai Sanam Bolne Lage Insaniat Ko Tum Bhi Kahan Khojne Lage Moti Har Ek Seep Mein Kyon Dhoodhne Lage Mausam Badal Gaya Hai Tumhen Kuch Khabar Bhi Hai Aayee Bahar Aao Chaman Jhoomne Lage Jitni Shadeed Dhoop Thi Rahe Hayat Mein Utne Hi Unkee Zulf Ke Saye […]

  • Khata nahi8217n hai chahat bhari nazer ki

    Khata Nahi’n Hai Chahat Bhari Nazer Ki, Na Dosh Hai Barish Key Is Pani Ka. Nikla Kar Ghar Se Orhnee Orh Key Gori, Tujhpe Aalam Hai Jor Jawani Ka. By Sahil Verma

  • Aakash ke taro mein khoya hai jahan

    Aakash Ke Taro Mein Khoya Hai Jahan Sara, Un Taaro Mein Lagta Hai Chand Pyara, Ek Ek Tara Us Chaand Ke Liye Tutta Hai, Par Woh Chaand Hai Jo Subha Ke Suraj Ke Liye Hi Bujhta Hai. By Saee

  • Khud ko ki khabar na lagay koi

    Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lagay

  • Is dharti par paida hokar bhi kyu

    Is Dharti Par Paida Hokar Bhi Kyu Tum Videsho Mein Jaakar Bas Jaate Ho, Apne Desh Ko Bhulkar Angrezo Ki Seva Karaate Ho, Kya Isi Ko Tum Sapno Ka Bharat Batate Ho. gandhi, subhash ne dilai azzadi humko fir bhi alexander ko great batate ho, shahjahan ne banaya taj mahal to kyu statue of liberty […]

  • Chalo tum saath toh zindgi suhana safar

    Chalo Tum Saath Toh Zindgi Suhana Safar Ho Jaaye Raho Jab Saath Toh Apna Bhi Ek Ghar Ho Jaaye Muskuraao Tum Jab-Jab Toh Phoolo Mai Mehak Ho Jaaye Lehraao Kabhi Baalo Ko Toh Fiza Mai Baarish Ho Jaaye Aao Kabhi Tum Paas Toh Haath Se Haath Ka Chhoona Ho Jaaye Chaahe Kitne Chup Rehte Ho […]

  • Ya rab ab ke jo main ghar

    Ya Rab Ab Ke Jo Main Ghar Badloon To Aisi Parosan De Jo Qalb Ko Garma De Jo Rooh Ko Tarpa De

  • Khud khuda hi aap par naaj bahut

    Khud Khuda Hi Aap Par Naaj Bahut Karta Hai Kaamdev Bhi Roj Dekh Kar Sajata Aur Savarta Hai.

  • Tareef us khuda ki jisne yeh jahaan

    Tareef Us Khuda Ki Jisne Yeh Jahaan Banaya Shama Banake Tujhko Parwaana Mujhe Banaya Aakhon Mein Samander Banake Tere Hothon Ko, Phoolon Ka Khazaana Mujhe Banaya. Zulfon Ka Baadal Banake Tujhko Us Ghata Ka Pyaasa Mujhe Banaya. Phoolon Sa Komal Banake Tujhko Bhavron Sa Pagaal Mujhe Banaya. Khusboo Se Mehka Ke Tujhko Tere Seene Se […]

  • Ae husn walon suno zara sambhal bhi

    Ae Husn Walon Suno Zara Sambhal Bhi Jaao Tum Yoon Nazaron Se Qatl Ishq Ka Achha Nahi Hota Yeh Ishq Ki Wafa Hai Ki Tumse Uff Tak Nahi Karta Aise Dilbar Ko Tadpanaa Achha Nahi Hota

  • Teri har adaaon ko dekhta tujhe apne

    Teri Har Adaaon Ko Dekhta Tujhe Apne Mein Sametta Tujhe Har Pal Yun Dekhta Kaash May Ek Darpan Hota Tu Mere Saamne Naha Kar Aati Mere Kareeb Baith Kar Sawarti Tere Har Shringar Ko May Dekhta Kaash May Ek Darpan Hota Tu Mujhko Bina Sharma Ke Dekhti Mere Saamne Baith Kar Baaten Karti Main Tumhe […]

  • Ishq mein humein wo mukaam mila hai

    Ishq Mein Humein Wo Mukaam Mila Hai, Pairo Tale Humein Aasmaan Mila Hai, Ek Ajab Si Chamak Hai Unki Aakhon Mein, Insaan Ke Roop Mein Bhagwan Mila Hai, Unke Honth Bade Hi Pyare, Un Honthon Se Humein Ek Naam Mila Hai, Hum To Gumnaami Ke Andheron Mein Khoye The Kahi, Unki Wajah Se Humein Ek […]

  • Mandir nahi maszid hai koyi ye sheewalaya

    Mandir Nahi Maszid Nahi Hai Nahi Koyi Ye Sheewalaya Hai Husan Walo Ko Kahado Ki Ye Mera Dil Hai Dil Koyi Ye Dharmshala Nahi Hai

  • Chand bhi sharma jata hai deedar tumhra

    Chand Bhi Sharma Jata Hai, Deedar Tumhra Karke, Husan Ki Malika Ho Tum, Ek Ehsan Hum Per Bhi Kar De! Aa Ja Is Dil Ke Rani Ban Kar, Yahi Ek Aarju Hai Meri, Meri Jindgi Me Aakar, Meri Sonson Ko Bhi Apni Dheemi Si, Muskan Dekar Jene Ka Ek Naya Sabab De De! By Dimpal […]

  • Tumhe apne dil mein basaye rakhta hoon

    Tumhe Apne Dil Mein Basaye Rakhta Hoon Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hoon Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye Isliye Apni Nazrein Jhukaye Rakhta Hoon

  • Uss haseena ki tareef mein kya kahein

    Uss Haseena Ki Tareef Mein Kya Kahein, Koi Shehzadi Zameen Par Utar Aayi Hai, Aankhe Hain Uski Ya Maikashi Ke Pyale, Dekh Kar Hi Humpe Khumari Si Chayi Hai. By Parvez Akhtar

  • Tumhari inn khoobsoorat aankhone muzhpe jaado kya

    Tumhari Inn Khoobsoorat Aankhone Muzhpe Jaado Kya Chalaya, Samhaj Mein Nahi Aata Ye Kaisa Jaam Tumhne Pilaya, Din Ke Ujhale Mein Bhi Na Jane Kahan Sa Kho Jata Hoon Mein, Samandar Se Gheri Enn Band Aankhon Mein Bhi Doob Jata Hoon Mein.

  • Log jhuk jaatey hain apney waqaar sey

    Log Jhuk Jaatey Hain Apney Waqaar Sey, Leykin, Husn To Husn Hai: Khushkhwaar Hai Zameen Key Liye! Aap Aaneyn To, Bin Phaloun Key Bhi Jhuk Jaayengey Tamaam Ye Darakht, Khairmaqdamee Key Liye!! By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)

  • Mat muskurao itna ke phoolon ko khabar

    Mat Muskurao Itna Ke Phoolon Ko Khabar Lag Jaye Ke Wo Karein Tumhari Tareef Aur Tumhe Unki Nazar Lag Jaye