rahi nagufta mere dil mein dastan meri

na is dayar mein samjha koi zaban merii

barang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanha

khabar nahin hai tujhe ah karavan meri

usi se dur raha asl-e-muda jo tha

gai ye umr-e-aziz aah raaygan meri

tere firaaq mein jaise khayal muflis ka

gai hai fikr-e-pareshaan kahan kahan meri

diya dikhai mujhe to usii kaa jalvaa ‘Meer’

padi jahan mein ja kar nazar jahan meri