koi kissa koi afsana sunate jate

mere mazi se mujhe aaj milate jate

dil ka murjhaya hua phool khilate jate

yaad guzre huye mausam ki dilate jate

aap ki raah mein mai bhi to pada rahta hooN

EK nazar dekh liya kijiye aate jate

aap ne mashk-e-sitam chod diya kyu nahak

kaun si baat thi ham jaan se jate jate

mujhse ye daag-e-judayi na gawara hoga

ho sake to mujhe patthar ka banate jate

unse kah do ke bahaar aa gayi wo bhi aa ke

khaak gulrez ki gulshan mein udate jate