Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko

Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain

Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii

Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon

Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin

Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah

Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai

Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se

Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai

Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main

Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko