Tum dukhon ke soz ka mosamon rog

tum dukhon ke soz ka

mosamon ke rog ka

dard mat saha karo

udas mat huwa karo

yeh dard hain hayat ke

kuch rung kainat ke

kuch dukh ki tez barishen

kuch phool hein nishat ke

tum phool bus chuna karo

khaar mat chua karo

UDAS MAT HUWA KARO

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Piyar ki wo misaal banayen ge hum

piyar ki wo misaal banayen ge hum.

Aankh band karo ge to yaad aayen ge hum

bhar denge itna piyar aok Dil me

k har dost se pehle yaad aayen ge hum.*

Dor ho k bhi apke pass raha

Dor ho k bhi apke pass raha kerty hain

teri yadon k sahary jia kerty kain

tujh se koi shikayat na gila kerty hain

tu salamat rahy bas yehi dua kerty hain

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ LoVeR

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

pRiNcE”

Ik sar sri si nazar wo mujh

Ik sar sri si nazar wo mujh pe bhi daal de.

A khuda use itna to khyal de.

Itna bhi arooj kai ke wo mil hi na sakay.

Wo ho dosta srif mera use itna to zawaal de.

Dost g inbox kholo aap k

*DOST G*

Inbox Kholo

Aap K Liye Dil Bheja Hai..

,.+”-.,*,.-”+.,

# _I Mì$$_ #

* _ yøu_ *

‘-.,*,.-‘

Yadon mein teri yad thi kya tha

Yadon mein teri yad thi, kya yad tha kuch yad nhi,

Teri yad me sb bhol gay,kia bhol gay kuch yad nhi,

Bas yad ho tum sirf yad ho tum,kyn yad ho kuch yad nhi,

14 feb 2010 aaj didar kal yaar

!!!!!!!!!14 feb 2010!!!!

Aaj didar, kal yaar, parso pyar, phir ekrar, aur phir-intzar,

phir-takrar,phir-darar,

saari mehnat-bekar, aur akhir mein-Ek

aur devdas at beer bar..AmN

Log kehte hain tera dost bewafa hai

Log kehte hain

tera dost bewafa hai

Me ne kaha itni

wafa kisi me

nahi hogi

Log kehte hain

tujhe yaad tak nahi karta

Me ne kaha ye b

wafa ki ek Adda

hogi.

Tum subh 0r shm ki tarh

*’Tum SubhÃ¥ 0r Shååm ki tarhÃ¥

*’Tum Khushiyön k Pegäåm ki tarhä

*’Hum ne Tumkö kÃ¥b BhulÃ¥yÃ¥ Ã¥e Dòst

*’Tum Yääd Hö Muje mere NAAM ki tÃ¥rhÃ¥…..

Fuluk pay chand kay haaly bhe sogh

Fuluk pay chand kay haaly bhe sogh kurty hen

Jo tou nahi tu ojaaly bhe sogh kurty hen

Tomhary Hath ki chori bhe bain kurti hey

Humary honth kay naaly bhe sogh kurty hen

Nughur Nughur bekhry hen Zolm kay Munzur

Humari Rooh kay chaaly bhe sogh kurty hen

Ossy kaho kay Sittum meah koch kumi kur day

Kay zolm torny walay bhe Sogh kurty hen

Tom apny dokh pay akaly nahi ho Afsordah

Tomary chahany waaly bhe Sogh kurty hen

Teri yaad ke aansu lafz ban kar

Teri Yaad ke Aansu Lafz Ban kar Bikharty Chalay gaye,

Hum jo Likhne Baithay to Phir; Likhte Chaley gaye,

Janay kis Khayal mey Tu ne Door Rehny ko Kaha tha,

Hum Apni Zaat mey Aisey Simtay k Simat’ty Chalay gaye,

Shab E Tanhai Or Teri Yaadon ne Woh Qayamat Barpa ki,

Ke Aansu jab Bahay to Behtay Chalay gaye…

Aaj b sms k intizaar main din

‘Aaj B Sms K Intizaar Main Din Guzr Gaya’.’,

‘FARAZ.’

‘Musroof Log’ Apni Marzi Sy 0r ‘Magr0or L0g’ Apny Matlb Py Yaad Kia Krte Hen,,

Khalie hai jam phir be peya ja

Khalie Hai Jam Phir Be Peya Ja Raha Ho

Tanha Ho Is Duniya Ma Phir Be Jiya Ja Raha Ho

Koi Raha Ni Ab Hamara

Phir Be Kese Ke Muskrhat Ka Liya Mout Ka Intezar Keya Ja Raha Ho..!

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Chale gaye ho dur kuch pal ke

Chale gaye ho dur kuch pal ke liye.

Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye

kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye.

Jab dil me ho aap harpal ke liye.

Aag dil me lagi jab wo khafa

Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue

Mehsoos hua Tab,

Jab wo Juda hue

Karke wafa Kuchh DE Na Sake wo

Per Bahut Kuchh De Gaye Jb wo Bewafa hue.

Ansoo se kaha k tanhi mai aya

Ansoo se kaha k tanhi mai aya karo

Itne sare logo mai mazak na banaya karoo

Is pe ansoo tarap k boola,!!

Itne logo mai ap ko tanha paya

To sath dene chala aya!!!

Ager kabhi meri yad ayeh to chand

ager kabhi meri yad ayeh to chand taroon ki narm dil-geeer roshni main kisi stary ko daikh lena

ager wo nakhl-e-falak sy urr ker

tumhary qadmon main aa giry to jaan lena

wo mera dil hay

ager na ayeh

magar yeh mumkin hi kis terhan hay

k tum jis pe nigha daloo

us ki dewar-e-jaan na tooty

wo apni hasti na bhool jayeh

ager kabhi meri yaad ayeh

ager kbhi meri yaad ayeh

ager kabhi meri yad ayeh to chand taroon ki narm dil-geeer roshni main kisi stary ko daikh lena

Ek din usne mujhse pucha main kahan

Ek Din Usne Mujhse pucha ‘Main Kahan Hun’

Maine Kaha Mere Dil Main Meri Jaan Main ho Tum

Ho Tum Meri har Saans Main

Meri Aas Main Ho Tum

Mere Dil Ki Dhadkano Main Ho Tum

Meri Aakhri Saans Main Ho Tum

Phir Pucha Usne ‘Kahan Nahi Hun Main’

Maine Sar Jhuka kar Jawaab Diya

Bas Meri Qismat Main Nahi ho Tum

Kaise woh lot aye ke fursat usse

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin

duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.

lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main

kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.

dil ki zameen us ki hai banjar issi liye

jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.

her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar

dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Sahar main bhi sham agaz anjam zindagi

Sahar Main Bhi Sham Main Bhi

Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi

Zindagi Kis Kadar Rulati Hai

Jab Tu Yad Ati Hai

Sukun Main Bhi Karar Main Bhi

Kaid Main Bhi Farar Main Bhi

Zindagi Kis Kadar Rulati Hai

Jab Tu Yad Ati Hai

Javab Main Bhi

Saval Main Bhi

Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi

Zindagi Kis Kadar Rulati Hai

Jab Tu Yad Ati Hai

Rakib Main […]

E kash agar aisa ho jaye unke sabhi

E-Kash Agar Aisa Ho Jaye

Unke Sabhi Gum Hamare Ho Jaye

Hum Jagey Jab Bhi Yaad Mein Unki

E-Kash Unhe Khabar Ho Jaye

Hum Jagein Unki Yaad Mein Jab Bhi

Wo Neend K Alaam Mein Kho Jayein

Hum Sahein Unke Gum Bhi Haskar

Gar Meri Khushiya Unhe Mil Jaye

Hum Jee Lenge Kaanton Mein Beshak

E-Kash Unhe Sab Phool Mil Jayein

Bhut Sataya Iss Duniya Ne Humko

Per Ab Ye Duniya Usey Na Sataye

Hum Jayein Jab Bhi Dua Mangney

Labo Pe Unka Hee Naam Aaye

Kash Hamari Duaon Mein Itna Asar Ho Jaye

Unke Sabhi Gumm Hume Mil Jayein

Unke Sabhi Gumm Hume Mil Jayein…

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Mai nahi h0n apne waj0od mujhe jane

Mai Nahi H0n Apne Waj0od Mai Mujhe Jane Kis Ne Chura Liya,

Mere Saath Rehta Hai W0 Har Qadam,

K0i Jad0o Us Ne Chala Diya,

Meri R0oh Mai W0 Sama Gaya,

Mujhe Ishq Karna Sikha Diya,

Meri Zindagi W0 Ban Gaya,

Mujhe Jeena Us Ne Sikha Diya,

Mai T0 Khud Se Bhi Tha Na Aashna,

Mujhe Mujh Se Us Ne Mila Diya,

Badal K W0 Meri Zindagani,

Daaman Apna Phir Mujhse Chura Gaya,

Pehle kia hume zInda phir maar gaya.

Kuch aise log jo zehan se bhulae

Kuch Aise Log Jo Zehan Se Bhulae Nahi Jaate

Kuch Aise Lamhe Jo Dil Se Mitae Nahi Jaate

Dard Ki Chadrein Meri Ghazlon Ko Dhanp Leti Hain

Mujh Se Sheron Mein Naye Rang Dikhae Nahi Jate

Be’basi Badh Ke Meri Ankhon Mein Utar Aati Hai

Meri Hansi Se Mere Aansu Chupaae Nahi Jaate

Teri Tehreeron Se Aati Hai Tere Haathon Ki Mehak

Be’wafaa Mujh Se Tere Khat Jalae Nahi Jaate

Wafaa Ki Raahon Mein Bujhne Ke Baad Ye Jaana Hai

Sar-e-Hawa Diye Mohabbat Ke Sajae Nahi Jaate

Ay Mere Khuda Taqdeer Ko Itna To Bataya Hota

Dukhon Ke Pahaad Insano Pe Giraye Nahi Jaate

Chahta b hai mujko pr baat nhi

Chahta B Hai Mujko Pr Baat Nhi Krta

Woh Shakhs MujSe Mulaqaat Nhi Krta

Khoya Sa Rehta Hai Hr Waqt Kheyalon Main

Kesay Kahon Wo Mujko Yaad Nhi Krta

Kiss liye itni saza detay ho

Kiss liye itni saza detay ho,

kabi karty ho yaad to kabi bhola detay ho,

Ajeeb ap ke dosti ka silsala Dekha,

kabi kushi or kabi apni yaad may rula Dety ho..

Aao udas raton me dil ki

Aao udas raton me,

Dil ki basti me aa k dekho,

Har ek rasta,

Har ek daricha,

Tumhari chaht ka muntazir hai,

Falak se takta hai chand tum ko,

Sitare tum ko bula rahe hain,

Tumhari aamad k muntazir hain,

Mujhe yaqin hai Tumhare dil me,

Gaye dino k khayal hain kuch,

Naye safar k malal hain kuch,

Nai ruton k sawal hain kuch,

AGAR Ye sach hai to meri mano,

Puranay raston pe loat aao,

Purani basti me koi ab tak,

Tumhari aamad ka muntazir ha……..

Aatish e ishq main jal jaon tujhey is say

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya

Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya

Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon

Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya

Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon

Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya

Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,

Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya

Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,

Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya

Mosam e hijr k lamhat koi kiya janay kya

Mosam-e-hijr k lamhat koi kiya janay,

Kya guzarti hai meray sath ko kiya janay,

Doriyon me bhi tere sath marasim hen woi,

Roz hoti hai mulaqat koi kiya janay,

Log hansti hui ankhon pe yaqeen rakhtay hain,

Mere ansuu mere jazbat koi kiya janay,

Ek tu hai jisay malum hen sari batain,

Shab-e-hijran mere halat koi kiya janay,

Koi kiya janay k khamoshiyan kia kehti hain,

Aay ?Dhani? teri ankhon k sawalat koi kiya janay

Pagal hain w log jo friends komisskrty

Pagal hain wø log jo Friends ko’MiSS’krty hain

‘MiSS’krna hain to ‘Macharon’ko ‘MiSS’kro

Jo jan pe khel k b apko’KiSS’krty hain

Happy machär’s season…

Zindagi ka har lamha achy se

‘Zindagi ka Har Lamha Achy Se

Acha Guzaro Kiun K Zingadi

Nahi Rehti Par Achi Yadian

Hamesha Zinda Rehti Hain…

Yaad toh har koi karega jaane ke

Yaad toh har koi karega jaane ke baad

sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad

kaun kitni mohabbat karta hai

nazar aajayega mar jaane ke baad

Nagme hain shikwe hain kisse baatein hain

(Nagme hain, shikwe hain

Kisse hain, baatein hain)

(Baatein bhool jaati hain

Yaadein yaad aati hain)

Yeh yaadein kisi dil-o-jaanam ke

Chal jaane ke baad aati hain

Yaadein, yaadein, yaadein

Zubaan khaamosh hoti hai nazar se

Zubaan khaamosh hoti hai,

nazar se kaam hota hai,

Isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai,

Yeh voh ehsaas hai jisko na lafzon ki zaroorat hai,

Jisse paakar lage saara zamaana khoobsurat hai,

Badal jaate hai sab aasaar jab yeh pyaar hota hai,

Aag dil me lagi jab wo khafa

Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue

Mehsoos hua Tab,

Jab wo Juda hue

Karke wafa Kuchh DE Na Sake wo

Per Bahut Kuchh De Gaye Jb wo Bewafa hue.

Usey mein ne hi likha tha

”Usey mein ne hi likha tha,

lehjey barf ho jaen to phir pighla nahi kartey

parinday dar k urr jaen to phirlauta nahi kartey”

”Usey mein ne hi likha tha,

yaqeen uth jaey to shayad kabhi wapis nahi aata

hawaaon ka koi toofan kabhi barish nahi laata”

”Usey mein ne hi likha tha,

sheesha toot jaey to kabhi phir jurr nahi pata

jo rastey se bhatak jae wo wapis murr nahi pata”

”Usey kehna woh be-maani adhora khat

usey mein ne hi likha tha,

USEY KEHNA K DEEWANE MUKAMAL KHAT NAHIN LIKHTEY”

Har dum karun yaad tujhe duaon me

Har Dum karun yaad tujhe Duaon me, Tu sada khush rahe Mohabt ki chahaton me, Izzat ho teri sub ki nigahon me, Koi gham na mile tujhe zindagi ki raho me…

The most critical moment in life

The most Critical Moment In Life’

When some one very special hurts u so deeply,

Causes tears in ur eyes.

And ask,’what Happened’?

But you just reply,

‘NOTHING’

Bin taray dil ko samjhaon kaisay ana

Bin taray dil ko samjhaon kaisay,

Ana chahoon tery pass to aaon kaisay,

Meri haar sans amanat hai teri yadoon ke,

Tot kar is sa zayada tujhay chahoon kaisay.

Meri zindagi ki kitaab wo mere har

Meri Zindagi Ki Kitaab Wo,

Mere Har Sawal Ka Jawab Wo,

Mein Usay Parhonga Tamaam Umar,

Meri Hayat Ka Nisaab Wo,

Meri Har Dua Uss Ke Liye,

Meri Ebadaton Ka Sawaab Wo,

Mein Saara Din Usi Mein Magan,

Meri Har Raat Ka Khwab Wo,

Likhon Aur Kya Mein Uss Ki Zaat Par,

Meri Zindagi Ka unwaan Wo…!!!

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Chandi jaisa rang hai tera sone jaise

Chandi Jaisa Rang Hai Tera, Sone Jaise Baal

Ek Tuhi Dhanvaan Hai Gori, Baaki Sub Kangaal

Ek Tuhi Dhanvaan…

Jis Raste Se Tu Guzre, Wo Phoolon Se Bhar Jaye

Tere Pair Ki Komal Aahat Sote Bhaag Jagaye

Jo Patthar Choo Le Gori Tu Wo Heera Ban Jaye

Tu Jisko Mil Jaye Wo Ho Jaye Malamal

Ek Tuhi Dhanvaan Hai Gori, Baaki Sub Kangaal

Jo Be-Rang Ho Uspar Kya Kya Rang Jamate Log

Tu Naadaan Na Jane Kaise Roop Churate Log

Nazaren Bhar Bhar Dekhen Tujhko Aate Jaate Log

Chail Chabeeli Rani Thoda Ghoonghat Aur Nikaal

Ek Tuhi Dhanvaan Hai Gori, Baaki Sub Kangaal

Dhanak Ghata Kaliyan Aur Taare Sub Hain Tere Roop

Ghazalen Hon Ya Geet Hon Mere Sub Mein Tera Roop

Yunhi Chamakti Rahe Hamesha Tere Husn Ki Dhoop

Tujhe Nazar Na Lage Kisi Ki Jiye Hazaron Saal

Ek Tuhi Dhanvaan Hai Gori, Baaki Sub Kangaal

Aik din hum duniya se chalay jayengay

AIK DIN HUM DUNIYA SE CHALAY JAYENGAY,

MAT SOCHNA HUM APKO BHOOL JAYENGAY,

BAS AIK BAAR ANKHAY BND KR KE KHOLNA,

HUM BAN KE ANSU PALKON PE UTAR JAYENGAY.

-DIL SE-

Zindagi se nazar milaao kabhi

Zindagi se nazar milaao kabhi – Haar k baad muskuraao kahi

Tark E ulfat k baad umeed E wafa – Ret par chal saki hai naao kabhi

Ab jafaa ki sarahataiN bekaar – Baat se bhar saka hai ghaao kabhi

Shaakh se mauj E gul thami hai kahiN – Baat se bhar sakaa hai ghao kabhi

Andhe zehnoN se sochne waalo – Harf meN raushni milaao kabhi

BarisheN kya zamiN k dukh baNteN – AaNsuoN se bujhaa alaao kabhi

Apne Spain ki khabar rakhna – KashtiyaaN tum agar jalaao kabhi

Ab aur kya kisi se marasim burhaein

Ab aur kya kisi se marasim burha‘ein hum

Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja‘ein hum

Sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha

Sunte rahe hein aap hi apni sada‘ein hum

Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb

Itna Na yaad aa ke tujhe bhool ja‘ein hum

Tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq

AA tere raaste mein sitare lota‘ein hum

Woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz

Heh heh khuda Na karda tujhe bhi rula‘ein hum…

Kuch yadain humari yaad rakhna batain

Kuch yadain humari yaad rakhna

Kuch batain humari yaad rakhna

Umar bhar sath hum rahen ya na rahen

Hum sath rahe thay kabhi

‘BAS WO PAL’

‘Yaad rakhna’

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,

Jab yadon k phool mehek rahe hon,

Jab deed ko nain taras rahe hon,

jab ankhon se ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,

Jub tumhein akela pan sataye ga,

Jab koi khuab he na aye ga,

Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Kuch dil ki lagi tum chero lagana

Kuch Dil Ki Lagi Tum Chero,

Kuch Dil Lagana Hum Sikhayen..

Kuch Pyar Ki Baatein Tum Karo,

Kuch Pyar Nibhana Hum Sikhayen.

.Kuch Nazar Ka Ishara Tum Karo,

Kuch Aankh Milana Hum Sikhayen..

Kuch Jan KI Baazi Tum Lagao,

Kuch Jan Sey Jana Hum Sikhayen..

Kuch Thora sa Hans K Tum Dakho,

Kuch Muskurana Hum Sikhayen..

Kuch Milney Ki Aas Tum Do,

Kuch Waqt Pey Aana Hum Sikhayen..

Dil Per Tum Bus Hath Rakh Do,

Kuch Dil Dharkana Hum Sikhayen..

Kuch Pyar Sey Paas Tum Aao,

Kuch Galey Lagana Hum Sikhayen

Yahan chahton ka sila nahi yahan dosti

Yahan chahton ka sila nahi,

yahan dosti ka maza nahi,

yahan janay kesi hawa chali,

Rahi dostoon main wafa nahi,

yahan jal gaya mera aashiana,

Abhi badlon ko pata nahi,

Teray dar pe dastak de sakon,

ye haq to tum ne dia nahi,

Main raahi hon raah-e-umeed ka,

Mujhay manzilon ka pata nahi,

MERI SAADGI MERA JURM HAi,

KOI AUR MERI KHATA NAHI.

Usay qadar hi nhi pyar ki hum

Usay qadar hi nhi pyar ki hum kia krty

Usay fursat nhi iqraar ki hum kia krtey

Usay zindagi se ziada hum chahte hain.

Usay aitebar hi nhi to hum kia krte…

bachpaney ki neend ankhon

~* Bachpaney ki neend *~

Ankhon mein uter ker

dheery dheery

puraaney gham

Palkon pey

nanhy nanhy

sitarey piro gaey

Ab bachpaney ki neend to

ek khwab ho gaee

Wo din kanhan

k raat huee aur so gaey….

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Kisi din hum guzra hua kal ban

Kisi din hum guzra hua kal ban jayenge

Pehle har roz kisi ko,

Phir kabi-kabi kisi ko,

Phir kabhi na kabi kisi ko,

Phir kabi na kisi ko Yaad ayenge..!!

Tum meri ankh k tewar na bhula

tum meri ankh k tewar na bhula paoge

ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe

safah-e-zist ko paltoge to yad aunga

isi andaz mein hote the mukhatib mujh se

khat kisi aur ko likhoge to yad aunga

sard raton k mahkate hue sannaton mein

jab kisi phul ko chumoge to yad aunga

ab tere ashk main honthon se chura leta hun

hath se khud inhen ponchoge to yad aunga

shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen

barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga

aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut

jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga

hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal

kisi diwar ko thamoge to yad aunga

is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi

tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga

Phele mai or tum the ab hum

Phele mai or tum the ab hum ho gaye

wo mere zakhmo ka marham ho gaye..

jab se unse meri shana sayi howi

wo mera sarmaya ghum ho gaye

wo sar-e-gulshan sanwer kar agaya

or sab hi pholo ke sar kham(open) ho gaye

dekhiye matlab mera kuch or tha

ap to ase hi bharam ho gaye

ishaq main pher koi uljhan na rahi

mashware jab unse baham ho gaye

jab ayadat ke lye wo agya

dard-e-dil ke nisbatan kam ho gaye…

Dukh hoon dard saaz ya aawaz

‘Dukh Hoon,

Dard Hoon,

Saaz Hoon,

Ya Aawaz Hoon,

Ya Beetay Dinon Ki

‘Yaad’ Hoon,

Main Kuch Bhi Hoon,

Jo Koi Bhi Hoon,

‘TUM BIN UDAS HOON’

”M’E”’

Dil k raste mai kesi thoker maine

Dil k raste mai kesi thoker maine khai

Toote khab sare ik mayusi hai chai

Har khushi so gae zindgi kho gae

Tumko jo piyar kiya maine saza mai pai”TANHAI”

Meelon hai pheli hui “TANHAI”

Khab mai dekha tha ik aanchal maine apne hathon mai

Ab toote sapno k shishe chubhte hain in aankhon mai

Kal koi tha yahen ab koi b nahen

Ban k naghan jese sanson mai lehrai “TANHAI”

Palkon pe kitne aanso hai lai

Kiyon asi umeed ki maine jo ase nakaam hui

Door banai thi manzil tu raste mai hi shaam hui

Ab kahan jaon mai kisko samjhaon mai

Kiya maine chaha tha aur kiyon qismat mai ayi “TANHAI”

Jese andheron ki ho ghehrai

Dil k raste mai kesi thoker maine khai

Toote khab sare ik mayusi hai chai

Bandh lain hathoon pay seenay saja tum

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,

Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,

Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,

Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,

Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,

Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Baadbaan khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa

baad_baa.N khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa

mai.n samandar dekhatii huu.N tum kinaaraa dekhanaa

yuu.N bichha.Danaa bhii bahut aasaa.N na thaa us se magar

jaate jaate us kaa vo mu.D ke dubaaraa dekhanaa

kis shabaahat ko liye aayaa hai daravaaze pe chaa.Nd

ai shab-e-hijraa.N zaraa apanaa sitaaraa dekhanaa

aa_iine kii aa.Nkh hii kuchh kam na thii mere liye

jaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa

Es dil me salamat ha ab tak

Es Dil me Salamat ha ab tak

Wo Shokhi-e-lab wo hraf-e-wafa,

Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina

So bar jisy choma Hum ne,

Es Dil me Salamat ha ab tak,

Wo Gard-e-alm wo Deeda-e-num,

Hum jis me chupa ker rakhty thy,

Tasweer Bikharti Yaadon ki,

Zanjeer pighalty Waadon ki,

Poonji nakam Iradon ki,

Ay teiz Hawa Naraz na ho,

Es Dil me Salamat ha ab tak,

Kuch rezy Naram Sawalon k,

Kuch Dar Anmol khayalon k,

Ek Sacha Roop HaQiqat ka,

Ek JHOOTA Lfz MUHABAT ka.

Door rhne walon ki ik bat saza

Door Rhne walon ki ik ik Bat saza Dti he

Humko to har jane wali Rat Rula Deti he

Wese to hum Dil k Bare Pakke hein

Bs kabi kabi kisi ki Yad Rula Deti hai,

Chaak is bulbul e tanha ki nawa se dil

Chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon,

Jaagne wale isi baang-e-dara se dil hon.

Yaani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon,

Phir isi bada-e-deereena ke pyaase dil hon.

Ajmy khum hai tau kya, mai tau Hejaazi hai miri,

Naghma Hindi hai tau tya, lai tau Hejaazi hai miri.

Jan kar bhi wo mujhe jan na

‘Jan ‘kar ‘bhi’ wo’

‘mujhe’ jan’ na’ paye,

‘aj ‘tak ‘wo’ ‘mujhe’ pehchan’ na ‘paye,

‘khud’hi’ kar’ li

‘bewafai’hum

‘ne’us’se

‘ta k’un’par’ koi elzam’na’ aye

Teri yaden teri baten nahin main bhoola

Teri yaden teri baten nahin main bhoola hain yad ab tak

Wo tera hansna wo tera rona nahin main bhoola hain yad ab tak

Kabi to tum ko bhi tha pyar mujh se shayad ho tum ko bhi yad ab tak

Wo wade qasmen jo tum ne kiay the nahin main bhoola hain yad ab tk

Kbhi jo lot k ho tera ana bas itna soch somajh k tum wapas ana k

Tera be wajha mujhe chor jana nahin main bhoola hai yad ab tak

Agr zindagi ye sath de gi milen ge ik roz hai yaqin Phir se ‘AFZAL’

K saare zakhmon me marham lagana nahin main bhoola hai yab ab tak

Ab koi harf e dua kam nahi ay ga

Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga,

Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga,

Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj,

Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga,

Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay,

Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga,

Uski galyon mein hamay koi nahi pehchanay ga,

Koi tana koi dashman nahi ay ga,

Dil k darwazay per dastak nahi de ga,

Koi nama koi paigham nahi ay ga,

Umr bhar matam mein shehr-e-tamana ho ga,

Neend to ay gi aram nahi ay ga,

Magar ae bad-e-saba us se ja kr kehna,

Is kahani mein ab koi nam nahi ay ga,

Tere naam ki thi jo roshni usay

Tere naam ki thi jo roshni

Usay khud hi tu ne bujha diya

Na jala saki jise dhoop b

Usay chandni ne jala diya

Main hoon grdishon mein ghira howa

Muje aap apni khabar nahi

Wo jo shakhs tha mera rahnuma

Usay raaston me ganwa diya

Jo teri nazar me ajeeb tha

Wohi shakhs tera habib tha

Tere hath ki wo lakeer tha

Usy hath se hi mita diya

Mujhe ishq hai k janun hai

Abi fesla nahi hosaka

Mera naam zenat-e-dasht tha

Mujhe aandhiyon ne mita diya..

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”

Dil mein ab dard e mohabbat k siwa kuch

Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin

zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin

Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron

Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin

Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab

Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin

Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna

Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin

Roz roz teri yaado ke phool khilte

Roz roz teri yaado ke

phool khilte hai

aur uski khusboo se

mahkta hai mera man

aur kahta hai

har baar ek hi baat ki

tum mera aagaaz ho

aur

tum hi mera anjaam ho

lekin meri is sachhi baat

se tumhe koi fark nahi padta

kyonki tumhe to aadat

hai na jazbaato se khelne ki

phoolo ki aad me

kaato ko paalne ki

lekin mujhe aadat nahi hai

pyar me rang badalne ki.

Tm kis trhan apne sard hath0n se

Tm kis trhan Apne Sard hath0n se mere gal0’n k0 chhuva krte thy…

Wasi

Is December me tm nh Magar tmhari Shararten yad Ayengi. . .

Baad mudat usay dekha logoo wo zera

Baad mudat usay dekha logoo

Wo zera bhi nahi badla logoo

Khush na tha muj say bicher ker wo bi

Us kay chehray pay likha tha logoo

Us ki ankheen bhi kahay deti theen

Raat wo bhi nahi soyalogooo…

Ajnabi ban kay jo guzraa hay abi

Tha kisi wakat may apna logoo

Doost to khair koi kis ka hay

Us nay dushman bhi na samjha logoo

Raat wo derd meray dil may uttha

Subah tak chain na aya logoo

Pyaas sehraooo ki phir taiz hoi

Aber phir toot kay bersaa logoo

Baad mudat usay dekha logoo

Wo zera bhi nahi badla logoo

Ab voh pehle si shanasai bhi nahi

Ab voh pehle si shanasai bhi nahi

tanhai to ye hai ke tanhai bhi nahi

hua hai jab se khyaale-yaar hamraah

qurb nahi haasil to judai bhi nahi

dil hai ke jaane khuda kis maqaam

qaid maen bhi nahi rihaai bhi nahi

hui is qadar viraan mehfile tanhai

ke rah gayi ab parchhayee bhi nahi

aap aur bhule mujhe ye kaise mumkin

ab tak to yaad meri aayi bhi nahi

mayoos badaa aap ki bazm se lauta

baat to baat are roonumai bhi nahi

ye kyaa abhi se tang aa gaye aap

abhi kya abhi puri sunaai bhi nahi

ab vohi kare yaad to shayad ho kuch

hai khwabo khyaali itni rasai bhi nahi

kyon na ubhrey shauqe-ghazal sarai

tabiyat ab se pehle kabhi aai bhi nahi

vaham hai yaqeen hai ya khusfahmi

ho ga mujh sa koi shedaai bhi nahi

gustakhiye-qalaam voh karenge muaf

kya unse ab itni aashnaai bhi nahi

parh kar ghazal aap ho gaye khamosh

taareef to ki nahi burrai bhi nahi

Koi dur hai to koi pass hai

‘,,Koi dur hai to koi pass hai,,

,,,,,,,Yeh Waqt-Waqt ki baat hai,,

,,,Hum-Tum dur hain to Kya hua?

Apni Dosti ki Yaadein

to Hamesha Apne Sath hain. (AA)

Raat ha chandni khushbu ha kia kahon

RAAT HA, CHANDNI HA, KHUSHBU HA

KIA KAHON IN SE MAIN, KAHAN TU HA

TU NAHI HA MAGAR YAHIN HA TU

IS MOHABBAT MEIN YE BHI JAADU HA

AA KE PALKON SE CHUN LE YE MOTI

SAB KI NAZRON MEIN TO YE AANSU HA

Zikr us ka meri kahaani ma chand

Zik’r us ka meri kahaani ma

Chand ka ak’s jaise pani ma

Wo to khamosh hi raha aur hum

Jaane kiye keh gaye rawaani ma

Apni aankhein bhi ganwaein hum na

Apne khwaabon ki paasbaani ma

Itni muddat ka saath choot gaya

Mere wajood ki mujh mein talash chor

Mere wajood ki mujh mein TALASH chor gaya..

Jo pori na ho kabhi aisi AAS chor gaya..

Yehi KARAM NAWAZII us ki mujh pe kam hai kia..

K khud to door hai YADEIN to pas chor gaya..

Jo khawhishen thi kabhi HASRATON mein dhal gayi ab..

Mere LABOON pe wo ek lafz KASH chor gaya..

Ye mera zarf hai ik roz us ne MUJH se kaha

K aam logon mein ek TUJH ko KHAS chor gaya

BAHARON se mujhy isi liye to NAFRAT hai..

Inhi RUTON mein mujhe wo UDASS chor gaya.

Hey slam how u doing call

hey slam

how u doing call me as soon as possible and do tel me u got sms ore not bye ALLAH HAFIZ

huma here