Ye wafa ye mohabat tere nam ki

Hum ne apni chahat tere naam ki

Sab gham or dard hain hamare liye

Hum ne tamam umar ke kushian tere naam ki

Hamari to na manzil hay na rasta apna

Hum ne phir b apne dil ki dunia tere naam ki

Hum hain bewafa kabhi sochna b mat

Hum ne to ek umar ki wafa tere naam ki.