usay apni farda ki fiqar thi

wo jo mera waqif-e-hall tha

wo jo us ki subha arooj thi

wo mera waqat-e-zawall tha

mera darrd wo desay janta

meri baat wo kesay manta

wo to khud fana k safar main tha

usay rookna b muhall tha

kahan jao gay mujy choor kar

main ye poch poch k thak gaya

wo jawab mujko na day saka

wo to khud sarapa sawaal tha

wo mila to sadion k baad b

mery lab par koi gila na tha

usay meri chup nay rula dia

jisay guftagu main kamal tha

mery sath lag kar wo ro dia

mujy faqt itna wo keh saka

jisay janta tha main zindagi

wo to mera weham-e-khyall tha…