Mere Mehboob Ko Jis Din, Janab Dekhoge
Hosh Ud Jayenge Jab Benaqab Dekhoge
Noor Par Ek Aftab Dekhoge
Raat To Raat Rahi Din Mein Bhi Khwab Dekhoge
Urdu Shayari
Urdu Shayari
Hawaao se dariye ki baat hoti thi
Hawaao Se Dariye Ki Baat Hoti Thi
Kaagazo Se Gulabo Ki Baat Hoti Thi
Kya Jaam-E- Mausam Ka Bahaar Hai “Masroor”
Barsaat Se Sharaab Ki Baat Hoti Thi
Ghamo Ka Fasaana Toh Dikhai Deta Tha
Aaj Kal Judaai Ki Baat Hoti Thi
Na Jaane Kyun Aaj Sab Begaane Ho Gaye
Ghar Mein Apno Ki Baat Hoti Thi
Takraa Toh Hum Bhi Gaye The Deewaro Se
Kambaqat Mohabbat Mein Bewafaai Ki Baat Hoti Thi
Kya Zindagi Jeete In Logon Ke Beech
Wafaao Se Maut Ki Baat Hoti Thi…
– Masroor
Chhu ke tere komal honth maine shabnam e jam
Chhu Ke Tere Komal Honth
Maine Shabnam-E-Jam Peeya
Sanson Mein Mahekti Rahi
Zakhm-E-Dil-E-Chingari Dahekti Rahi…
– Sheikh Muqtar
Aise kisi rafeeq ki dunia misaal de
Aise Kisi Rafeeq Ki Dunia Misaal De
Main Usse Dard Mangu To Wo Dil Nikal De
Rab Jane Kiski Dua Mere Sath Hai
Main Doobna Chahu Bhi To Dariya Uchhaal De…
Ham gulab ke phool hen tou kya
ham gulab ke phool hen tou kya hua,
log hamien honton se , ankhon se lagatey hen
tou kya hua~!
aap ko bhee tou paka ke khatey hen.
bher bakrya kacha hi khatey hein
kia baat hai Merey Gobi ke phool ki, kia bat hai ji shehzad hanif
Dard shayari sare sapne tod k baite
Dard Shayari
Sare Sapne Tod K Baite Hai
Sare Arman Tod K Baite Hai
Na Kijiye Hamse Wafa Ki Bate
Abhi Abhi Dil K Tukde Jodkar Baite Hai (love bad ok)
Pathan Jokes
100 pathan aik kashti me sawar thay
k achanak kashti ruk gai
or
sab doob gaye, kaisay?
pathan thay na sub,
dhakka laganay utar gaye
Dosti Shayari
Pani Se Tasvir Kaha Banti He
Khwabo Se Takdir Kaha Banti He
Kisi Ko Chaho To Sacche Dilse
Kyunki Ye Zindgi Phir Kaha Milti Hai
Love Shayari
Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say
( What Is Love Shina Amir)
Hindi Shayari
tufan me kashti ko kinare bhi mil jate hai
jahan me logo ko sahare bhi mil jate hai
duniya me sabse pyari hai zindagi
kuch log zindagi se pyare bhi mil jate hai
Urdu Shayari
Na Khawabon Main Dekha, Na Nazaron Main Dekha,
Hazaron Main Hum Nay Ek Tum Hi Ko Dekha
Ghum Denay Walay Tu Har Pal Hai Yahan,
Har Pal Khushi Denay Walon Main, Ek Aap Ko Hi Dekha
Love Shayari
Jis anjam se hum dartey thay,
Uss anjam tak humein le aaya koi.
Zindagi guzar gayi samjhaney mein,
Kuch iss tarha bekarari sikha gaya koi
Hindi Shayari
dil gumsum zubaan khamosh
yeh aankhein nam kyu hai
jab tujhe kabhi paya hi na tha
to aaj tujhe khone ka ghum kyu hai.
Dard Shayari
Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dohke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya
Dard Shayari
Meri sari zindagi ko be sabub us nay kia
Umar meri thi magar is ko basar us nay kia
Rahbar mera bana gumrah krnay k liya
Mujhko seedhay rastay say darbadar us ny kia.
Hindi Shayari
log kahate hai. tum cigaret kyu pite ho.
kya ye pyas bhujati hai. maine kaha nahi.
dil me kisi bewafa ki tasveer hai.
kambkat usko jalati hai.
Hindi Shayari
Takdir Ke Rang Kitne Ajeeb Hain
Anjane Rishte Hai Phir Bhi Kareeb Hain
Har Kisiko Dost Aapke Jaisa Nahi Milta
Aap Mile Mujhe Ye Mera Naseeb Hai (good freiends )
Submitted By: Ansari Amir 9892500724
Honton pe hansi ankhon main khushi gham
Honton pe hansi, ankhon main khushi
Gham ka khanin nam nahu,
ye “Diwali” laye app ki zindagi main itni khusiyan,
Jiski Khabhi sham na hu…
Mera dil hai jab tak teri justaju
Mera Dil Hai Jab Tak, Teri Justaju Hai
Meri Zubaan Jab Tak, Teri Guftagu Hai
Khuda Jaane Kya Hoga Anjaam Mera
Jahan Dekhta Hoon Tu Hi Tu Rubaru Hai…
Na jane log hamme kew chhod jate
Na Jane Log Hamme Kew Chhod Jate Hain”
Hum Tou Unhain Yaad Rakhte Hai Par Woh Hamme Bhul Jate Hai”
Shayad Sarzad Hoti Hai Hammi Se Khatayein Ja Ba Ja”
Jo Hamare Hi Dost Hammari Maut Ke Liye Duayein Mangte Hain”
– Imtiyazazra
(Imtiyaz Ahmad Lone)
Taarif e maashooq khil ti kali ki tarah hai
Taarif-E-Maashooq
Khil Ti Kali Ki Tarah Hai Muskaan Uski
Udti Titli Ki Tarah Hai Chaal Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Behti Jheel Ki Tarah Aankhein Uski
Jhool Ti Shaqaon Ki Tarah Hai Baahein Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Ajab Si Sheereeni Hai Baatoan Me Uski
Ghazab Si Mehek Hai Saansoan Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Machal Utha Hai Dil Jab Se Dekhi Hai Tasveer Uski
Mehek Utha Hai Gulshan Khushboo Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khil Uthi Hai Tabassum Ruksaroan Pe Uski
Mil Gayi Hai Taqdeer Gulzaroan Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Jal Uthi Hai Shama Roshni Se Uski
Khatm Hui Hai Tanhaai Mehfil Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Dil Me Basata Main Tasveer Uski
Ban Gaya Hun Khud Taqdeer Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Milti Nahi Fursath Yaadon Se Uski
Rehta Hoon Masroof Baaton Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khud Ko Khone Laga Hoon Baatoan Me Uski
Lut Ne Laga Hoon Chahon Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khatm Hua Dard-E-Dil Dekh Ke Soorat Uski
Sang-E-Marmar Ki Tarah Hai Moorat Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
– Tanveer Pasha
Sukut kurb mein utre to yaad kar
Sukut Kurb Mein Utre To Yaad Kar Lena
Kabhi Jo Toot Ke Bikhro To Yaad Kar Lena
Maana Ke Tum Guftugu Ke Maahir Ho
Wafa Ke Lafz Pe Atko To Yaad Kar Lena
Kitaabe asoolo se nabi sawaal toh ka
Kitaabe Asoolo Se Nabi Sawaal Toh Ka
Gham Hai Bhara Hua Kuch Mera Intezaam Toh Kar
Kab Tak Bhatkunga Yun He Tere Kabrstaan
Masroor, Dhunli Hai Kabr Mere Liye Thodi Jagaa Toh Kar
***
Mohabbat E Ilteja Maine Dil E Jaan Se Kiya
Masroor Agar Woh Samaj Na Sake Toh Mein Kya Karta
– Masroor
Sakii dum se tere chalte rahe maikhane
Sakii Dum Se Tere Chalte Rahe Maikhane,
Mere Pine Se Toote Rahe Paimane-Paimane,
Tere Naaam Se Chalti Dil-E-Dhadkane Meri,
Taufiiq-E-Nazar Sharab Mein Surat Hai Teri…
– Sheikh Muqtar
Na bhoolenge tumhe vaadaa e diidaar humne kiya tha
Na Bhoolenge Tumhe Vaadaa-E-Diidaar Humne Kiya Tha Tumse
Meri Saans Mei Teri Khushbu Aye, Har Kisi Me Tu Nazar Aaye
Rone Pe Ikhtiyaar Nahi, Mere Dil Ko Taab Ab Kahi Nahi
Gire Aksh Mere Sailaab, Phaili Mauj-E-Shamiim Yaadon Ke Saath.. Aadaab
– Sheikh Muqtar
Zameen se aasmaan tak ka faasla kuch
Zameen Se Aasmaan Tak Ka Faasla Kuch Kam Nahin
Zindagi Mein Itne Gham Hai Ke Woh Gham Bhi Kuch Kam Nahin
Sochkar Bhi Yun Kab Tak Jeeyenge Masroor
Maut Toh Hai Kareeb Par Meri Maut Ka Waqt Kam Nahin…
Masroor
Murge ki baang sub ha jagaya karti thi
Murge Ki Baang Sub-Ha Jagaya Karti Thi
Daadi Muh-Andhere Dahi Biloya Karti Thi
Bahut Tarraqui Kar Li Hamne Ab
Garaaj Ban Gaya Wahan Jahan Gaayein Raha Karti Thi…
Wafa Ki Baat Ab Kahani Hoti Hai
Dekh Ke Mulq Ke Halaat Pareshani Hoti Hai
Kaum Ko Deemak Ki Tarha Jo Chaat Gaye
Wo Hain Khush Haal Hairani Hoti Hai…
– Dev Arjun
Jhuka le nigaahein us mein aitraaz kya
Jhuka Le Nigaahein Us Mein Aitraaz Kya Hai
Kuch Guftagu Bhi Kar Le Yaha Woh Bewafa Kaha Hai
Tha Woh Zamaana Ke Woh Waqt Bhi Ajeeb Tha
Pilaa De Saaqi Dariye Bhar Mujhe
“Masroor” Ab Woh Kaatil E Shaks Kaha Hai…
***
Dard Ka Musafir Tu Kya-Kya Kahega
Zikr Kar ‘Masroor’ Ka Woh Usse Sharaab Se Bayaan Karega…
– Masroor
Yun toh meri maiyyat mein shaamil yeh
—yun toh meri maiyyat mein shaamil yeh zamana hoga,
par karne rawana mujhe tujhe bhi aana hoga,
kar jayega shirkat agar wahan tu `sufi`,
toh mere jaana mera aakhiri safar bhi sufiana hoga
Har fehrist seene me tarkash ki tarah
Har fehrist seene me tarkash ki tarah lagi,
safa panno par faili siyahi farmaane altamash ki tarah lagi,
hilane chale the aasman par zarra bhi na hila,
hazaaron jigaron ki fehrist me naam lakthejigar ka na mila,
kabhi siri kabhi tughlaq kabhi aauliya ki panah ke liye bhatka,
par kaanta ae taqdeer badkismati par jaa kar atkaa,
taqhliyaa,,, taqhliya ae jashn ki aawazon tum mere aashiyane par lashkar ki tarah giri
so chuki sab ummeedein jaanashenn ke liye thi jo jagi,
har fehrist seene paf tarkash ki tarah lagi
Ae naye saal bata tujh mein niya
Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi
Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray
Junuary, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee
Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga
Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi
Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain
Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki…
Malaal e dil mera dhadkan tere naam ki khone
Malaal-E-Dil Mera Dhadkan Tere Naam Ki Khone Laga
Koyi Paigaam Usne Likha Aur Gehra Zakhum Hone Laga
Gham-E-Tanhayi Hai Lekin Afsos Loota Ke Barbaad Hua
Teri Be.Hayaa Ankho Mei Dekha, Ajib Sa Haal Mera Hua
Kaise Maan Lete Ke Sazaa Ke Mustahiq Thahre Hain Hum
Izhaar-E-Mohabbat Humne Bhi Auro Ki Tarah Kiya Tou Tha
Sheikh Dard-E-Zindagii Mein, Kaho Unse Ab Ilzaam Koi Likh De
Lakh Koshish Thi Dayaar-E-Dil Mein, Ishq-E-Mohabbat Mein Koi Chirag Jalaye
– Sheikh Muqtar
Tanhai iss tarah barsi ke gham e ishq mein
Tanhai Iss Tarah Barsi
Ke Gham-E-Ishq Mein Jam-E-Sharab Pee Gaya
Tere Intezar Mein Arsa-E-Hastee
Gard-E-Gham Taras Khaa Ke Pee Gayaa
Dil Kii Dharkan Mein Teri Yaadein Bikhar Gayee
Bujh Gai Roshni Meri Jab Terii Raan’aaii Chali Gayii
Dil Ki Bebsi Meri Koi Tawaazun Na Rahi
Bhool Gaya Sara Jamana ‘Sheikh’ Woh Mujko Chhod Gayii
– Sheikh Muqtar
Teri awaj tabaah e dil mein goonj uthi jb
Teri Awaj Tabaah-E-Dil Mein Goonj Uthi
Jb Chalakta Jam Honton Se Laga
Magrabi Hawa Phir Se Chalee
Zahar-E-Gham Ka Nasha Honae Laga
Boond Boond Sharab Mein Nazar-E-Tasveer Dekhi
Kasm-E-Waade Mein Sheikh Shiddat-E-Gam Pita Hi Raha… Aadaab
– Sheikh Muqtar
Teri tisnagi jam gai mere dil mein
Teri Tisnagi Jam Gai Mere Dil Mein
Tabaah Kar Zindgi Khamosh Hun Main
Hasrat-E-Ulfat Pyass Na Bujha Sakee
Vafuur-E-Shauq Tamanna Adhuri Rahi… Aadaab
– Sheikh Muqtar
Suno tum maan jao na hamay ab
Suno Tum Maan Jao Na
Hamay Ab Yun Satao Na
Tumharay Bin Hamay Jena
Gawara Ab Nahi Hota
Tumhay Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota
Hamay Apna Bana Lo Tum
Tumhara Ban K Rehna Hai
Mujhe Dukh Hijar Ka Janum
Nahi Ab Or Sehna Hai
Kayi Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na
Tumhay Meri Kasam Jannah
Tum Meray Sang Chal Do Na
Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na
Gham e dil mein dard e tamanna sulagti rahi hum ghamkharon
Gham-E-Dil Mein Dard-E-Tamanna Sulagti Rahi
Hum Ghamkharon Ka Anjaam Maikhane Mein Sahi
Khuda Ab Tu Pila De Jane Kya Hashar Hai Hamara
Tune Piyas Bujhai Hamari Sharab Qaabil-E-Raham Rahi…
– Sheikh Muqtar
Ek yaar khafa hai humse woh pyaar
Ek Yaar Khafa Hai Humse
Woh Pyaar khafa Hai Humse
Ek Zindagi Tha Jo Meri,
Woh Dildar Khafa Hai Humse
Kehta Tha Woh Humse
Na Khafa Hoga Kabhi Humse
Bichad Bhi Jayen Jeevan Mein
Na Hoga Juda kabhi Dilse
Ek Arsa Beeta Hai Aye Dil
Na Koi Khabar Mili Unse
Chahat Mein Ibaadat-e-Ishq Mein
Jaane Kya Khata Hui Humse
Rootha Hai Humse Woh Dil
Gusse Ki Wajah Keh Humse
Milne Ki Dua De Humko
Ya Phir Marne Ki Dua De Dilse
Tere wada e didaar par hum kayam thei intejar e imtehaan
Tere Wada-E-Didaar Par Hum Kayam Thei,
Intejar-E-Imtehaan Mein Zakhmi Thei
Aah-E-Aatashii Se Jal Gayaa Dil Nadim,
Bikharii Yadoon Mei Tere Mauj-E-Shamiim,
Andaz-E-Alvida Ye Kaisa Tha Zalima Tera,
Mazdhaar Mein Hum Doobe Kinare Tum Lage…
– Sheikh Muqtar
Zaahir hai meri bebasi be asar aahe aab e chashm
Zaahir Hai Meri Bebasi, Be-Asar Hai Meri Aahe
Aab-E-Chashm Deko Jara, Nikalti Kasak-E-Dil Meri
Kya Tamanna Kya Arju-E-Kwab, Dil Woh Mera Loot Gaya
Ishq-E-Muhobbat Tanhai, Woh Tabaah Mujhe Kar Gaya
Tamanna Tujhe Gair Ki Hai, Aarju Mujhe Teri Rahi
Gham-E-Nafrat Tere Dil Ki, Shole Bankar Jala Gayee…
– Sheikh Muqtar
Tum shayad is jahan ki nahi zannat
TUM SHAYAD IS JAHAN KI NAHI ZANNAT SE HI AYI HO,
SABAKE DIL KO ZINDA KARDE AISA JADU LAYI HO,
DEKHATE HI ASHIQ BANTE AISA HUSN SAMAYI HO,
GULAB-AE-LAB TUMHARE JAB JAB KHIL JATE HAIN,
MARTA JO WO JI UTHATA HAI HUM JITE JI MAR JATE HAI,
SADIYON ME PURI HOTI WO INAYAT TUJHAME SAMAYI HAI,
WO CHAND NAHI TUM JO KUCH DIN ME CHHUP JATA HAI,
TUM HO WO TARA JO SADIYON ROSHAN HO JATA HAI,
CHAND KEHANA TO BE-ADABI HOGI US KHUDA KI KYON KI,
CHAND ME ITANE DAAG HAIN AUR TUMHE BEDAAG BANAYA HAIN,
KHUSH RAHO TUM HAMESHA YAHI HAMANE CHAHA HAI,
AUR KYA DE SAKATE HAIN HUM JAB KHUDA HI TUM ME SAMAYA HAI
Tu sirf hai tujh jaisa koi nahin
Tu Sirf Tu Hai Tujh Jaisa Koi Nahin
Jo Samajh Sake Tujhe Aisa Koi Nahin
Yun To Shehar Me Bheed He Bahut
Do Kadam Saath Chale Aisa Koi Nahin
Waqt Ka Taqaza He Ya Shehare Tehzeeb
Doston Ke Beech Bhi Yha Saafgoi Nahin
Har Haal Me Jo Lehlahati Rahe
Aisi Fasal To Hamne Baarha Boi Nahin
Kise Sunaye Aaj Wo Gayan Geeta Ka
Aadmion Ke Jangle Me Arjun Sa Koi Nahin…
– Dev Arjun
Aaj mujay khushi ki wo rida nazar
AAJ MUJAY KHUSHI KI WO RIDA NAZAR AYI..
JIS MAINN MUJAY MUHABBAT KI WAFA NAZAR AYI..
KEHTAY HAIN SABAR ANDEHRO MAIN ROSHNI KARTA HAI…
AAJ MUJAY US ROSHNI KI RIDA NAZAR AYI….
FOR MY LOVE…..M
by mwaqas kha
last call kal hamesha ki tarah us
“Last Call”
Kal hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone per
mai bahut masroof hoon mujhko bahut say kaam hain
is liye tum ao milnay, mai tu asakti nahin
har riwayat tor kar is bar mainay kah diya
tum jo ho masroof tu mai bhi bahut masroof hoon
tum jo ho mashhoor tu mai bhi bahut maroof hoon
tum agar gamgin ho mai bhi bahut ranjore hoon
tum thakan say choor ho tu mai bhi thakan say choor hoon
jaan-e-man hai wakt mera bhi bahut hi keemti
kuch puranay doston nay milnay ana hai abhi
mai bhi ab faarigh nahi mujh ko bhi lakho kaam hain
warna kahnay ko tu sab lamhay tumharay naam hain
meri ankhain bhi bahut bojhal hain sauna hain mujhay
ratjagon kay baad ab neendon mai khona hai mujhay
mai lahu apni anao ka baha sakta nahin
tum nahin atin tu milnay asakta nahin
us ko yeh kah kay WASI mai receiver rakh diya
aur phir apni ana kay paon pay sar rakh diya
–Syed Wasi Shah
Contributed by Devraj Singh
Teri chahton mein hai apna pan muje
Teri Chahton Mein Hai Apna Pan,
Muje Dil Se Kahin Ye Rula Na De.
Main Shajar Hon Jazba-e-Ishq Ka,
Tujhe Ishq Mera Sata Na De.
Tu Jahan Bi Ho Ga Yaad Rakh,
Meri Har Ada Tere Sang Hai.
Muje Apni Kuch Bi Khabr Nahi,
Dar Ye Hai Tu Bhula Na De.
Muje Pass Rakh Mujhe Tham Le,
Mujhe Chorne Ki Saza Na De!!
Tassavur me jab tasveere yaar hoti he
Tassavur Me Jab Tasveere Yaar Hoti He
Zindagi Tab Khushgavaar Hoti He
Zindagi Zindagi Nahin Rehti
Muflisi Ka Jab Shikaar Hoti He
Jigar Ka Tukra Tha Kisi Ka Jo Jal Gayee
Zindagi Yun Bhi Sharmsaar Hoti He
Havaniat Panapti Rahi Dorti Car Me
Zindagi Tab Laachaar Hoti He
Soch Samajh Ke Kharch Ki Zindagi Hamne
Kuchh Na Haath Laga Ye Nagavaar Hoti He
Aadmi Aadmi Nahin Rehta
Zindagi Jab Daagdaar Hoti He
Kuchh Na De Dikhai Daulat Ke Siva
Zindagi Tab Bimaar Hoti He…
– Dev Arjun
Kashis e dil mera pyar ka quuvat e namuu tha yaqiin
Kashis-E-Dil Mera, Pyar Ka Quuvat-E-Namuu Tha,
Yaqiin Na Hua, Tera Pathar Dil Pighal Na Saka,
Duniya Ashkon Mei Dooby, Kaisa Mera Azaab Tha,
Khud Ko Lagaya Rog, Tanhai Meri Mustaqil Bani… Aadaab
– Sheikh Muqtar
Barf ke rup men dhal jayege ristey
Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai!
Submitted By : Amir (amirulcomp@hotmail.com)
Ye dil pagal mera kyon bujha gaya
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyon Bujha Gaya Avaaragi
Is Dasht Mein Ik Shehar Thaa Wo Kyaa Huaa Avaaragi
Kal Shab Mujhe Be-shakal Sii Awaz ne Chunka Diya
Mein ne Kaha Tuu Kaun Hai Us ne Haha Avaaragi
Ik Tuu ke Sadiyoon Se Mere Humrah Bhii Humnawaz Bhi
Ik Mein Ke Tere Naam Se na-Ashna Avaaragi
Ye Dard Ki Tanhayian Ye Dasht Ka Weeran Safar
Hum Log To Ukta Gaye Apani Suna Avaaragi
Ik Ajnabi Jhonkay Ne Jab Poocha Mere Ghum Ka Sabab
Sahara Ki Bhigi Ret Per Mein Ne Likha Avaaragi
Le Ab To Dasht-e-Shab Ki Saari Wastien Sone Lagien
Ab Jagna Hoga Hamien Kab Tak Bata Avaaragi
Kal Raat Tanha Chand Ko Dekha Tha Mein Ne Khavab Mein
‘Mohsin’ Mujhe Raas Ayegi Shayad Sada Avaaragi
Bazi e ishq kuch es tarah se
Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo
Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo
Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo
Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo
Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo
Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo
Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaro
Kabhii aansuu khushii bechii ham gariibon ne
Kabhii Aa.Nsuu Kabhii Khushii Bechii
Ham Gariibo.n Ne Bekasii Bechii
Chand Saa.Nse Khariidane Ke Liye
Roz Tho.Dii Sii Zindagii Bechii
Jab Rulaane Lage Mujhe Saaye
Mai.n Ne Uqtaa Ke Raushanii Bechii
Ek Ham The Ke Bik Gaye Khud Hii
Varanaa Duniyaa Ne Dostii Bechii
Kitne dil fanaa hue teri raah e aashiqii mein
Kitne Dil Fanaa Hue Teri Raah-E-Aashiqii Mein
Daur-E-Bewafa Ka Sil Sila Mein Loot Gayee
Hui Badnaam Qasur-E-Ishq Mein Mohabbat Meri
Haal-E-Mahajuurii Mein Jaan Meri Niklati Gayee…
– Sheikh Muqtar
Chahat se teri ankho mein dube nafrat
Chahat Se Teri Ankho Mein Dube, Nafrat Se Aansu Bankar Uchle
Gire Jo Farsh Pe Toote Aise, Rehza Rehza Dil Bikhra Jaise
Umeed-E-Wafa Kare Kaise, Zubaan-E-Haal Kahe Kis Se
Salaam-E-Dil-E-Muztar, Khamosh Mohabbat Mein Hai Intezar…
– Sheikh Muqtar
Pathar tha magar barfk gaalon ki trah
Pathar tha magar barfk gaalon ki trah tha.
Aik shakhs andheron min ujalon ki trah tha.
Khwabon ki trah tha na khyalon ki trah tha.
Wo ilm e riyazi k sawalon ki trah tha.
Uljha hoa asa k kbhi hal ho nhi paya.
Suljha hoa asa k misalon ki trah tha.
Wo mil to gya tha magr apna hi muqaddar.
Shatranj ki uljhi hoi chaalon ki trah tha.
Tere rooth jaane se o bewafa silsila
Tere Rooth Jaane Se O Bewafa
Silsila Raha Naala-E-Shab-E-Taab Ka
Khai Chot Tere Ishq-E-Mohabbat Mein
Shiddat-E-Gham Mein Dil Muskuraane Lagaa… Aadaab
– Sheikh Muqtar
Hai abhi baki uski ulfat e nigha ki talab
Hai Abhi Baki Uski
Ulfat-E-Nigha Ki Talab Mujhe
Jhoomti Rahi Dilruba Meri
Ajnabi Baahon Ke Halqe Mein Lachakti.
Sulagte Aansu Mein Doobi
Iss Aankon Mein Taab-E-Nazar Hai Abhi
Kaise Doon Use Ye Ilzam-E Bewafai
Ke Khayee Thi Kasam Usne Rooh Ki Meri.
Shoq-E-Aziyaat Taqdeer Meri
Sulagti Dhuein Mein Udi
Guzara Mein ‘Sheikh’ Ab Alvida
Sarhad-E-Marg-E-Musalsal Sahi… Aadaab
– Sheikh Muqtar
Hum woh hasti hai bewajood dil e dehliz se
Hum Woh Hasti Hai Be_Wajood
Dil-E-Dehliz Se Nikale Gayae
Bhejoge Lakh Tum Salam-E-Ishq
Furqat-E-Gum Hamara Azal-E-Alvida Hai
– Sheikh Muqtar
Mausam mein kuch nami thi halki bunda
Mausam Mein Kuch Nami Thi, Halki Halki Bunda Barish Thi
Bikhre Gesuu Tere Rukhsana, Hua Sharm-O-Haya Dil-E-Nishaana
Rukh Pe Tabassum Ki Lali, Nargis Nazrein Pyar Ki Pyasi
Hont Shabnam-E-Shauq-E-Talab, Taskiin-E-Dil Rezaa Rezaa Alag…
– Sheikh Muqtar
Tere woh gaane mein kai mood aur
Tere Woh Gaane Mein Kai Mood, Aur Kai Zamane Hai Hazar
Tanhai Mein Dil-E-Bekarar, Khud Tere Ishq Mein Rahi Badnaam
Ashk-E-Tar Mein Didaar Tera, Na Ummid-E-Tajdiid-E-Vafaa
Qalb-E-Jaan Qurbat-E-Gul Khila, Gam-E-Ishq Ne Shikast Diya
– Sheikh Muqtar
Namaz haq hai isko kaza na kar
Namaz Haq Hai Isko Kaza Na Kar
Baa Paband Ba Waqt Isko Aada Kar
Hasr Me Kabar Me Duniya Nahi Aane Wali
Duniya Ki Bebasi Me Deen Na Fana Kar…
– Shagird
Tum se bohut kuch kehna hai magar
Tum se Bohut Kuch
Kehna Hai Magar,
Kabhi Tum Nahi Milte
Kabhi Alfaz Nahi Milte,
Ye Doriyan Tu Mita Doon Mein
Ek Pal Mein Magar,
Kabhi Kadam Nahi Chalte
Tu Kabhi Raste Nahi Milte,
Tumhen Pana Chahta Hoon
Umar Bhar Ke Liye Magar,
Kabhi Halat Nahi milte
Tu Kabhi Jazbat Nahi milte!!
Chaader pe padi ek salwat he zindagi
Chaader Pe Padi Ek Salwat He Zindagi
Kahin Dile-Dariya Kahin Khatpat Hai Zindagi
Kabhi Hasaati Hai Kabhi Rula Deti Hai
Sambhal Ke Chalna Badi Natkhat He Zindagi
Kabhi Yun Hi, Kabhi Bamushkil Milta Nahin Sakun
Jiyo To Hass Ke Jiyo Varna Marghat Hai Zindagi
Jise Dekhe Bina Na Kat-Ta Tha Ik Pal
Hui Shaadi Usi Se To Badi Jhanjat Hai Zindagi
Saawan Ki Bauchhaar Kabhi Jayeshth Ki Tapish
Gauri Se Ho Milan To Panghat Hai Zindagi
Main so raha tha ki ik lamhe
Main So Raha Tha Ki Ik Lamhe Ne Jhinjhod Diya
Salaakh Surkh Thi Jis Tarah Chaha Mod Diya
Sujhayi Kuch Nahi Deta Shiksta* Yaadon Mein
Kisi Ka Chehra Kisi Ke Badan Mein Jod Diya
Bhale Hi Mar Raha Hai Katra Katra Reit Pe Ab
Ye Aab Zinda Tha Dariya Ka Saath Chhor Diya
Siyah Takht Pe Ik Surkh Nukta Fael Gaya
Hawa Ne Udte Parinde Ka Baazoo Tod Diya
Ye Keh Ke Tum Durnayaab** Aur Duniya Gareeb
Mujhe Akela Sammandar Ki Teh Mein Chhor Diya
– Bashir Badr
* Shiksta = Khandit
** Durnayaab = Durlabh Moti
Kabhi hum payar ban key tere dil
Kabhi Hum Payar Ban Key Tere Dil May Jagmagey Gay
Tanha Raton May Teri Needien Churaien Gay,
Teri Yadoon May Sab Se Qareeb Hon Gay Hum
Kabhi Khawab-e-Hasin Ban Key Teri Palkon May Bas Jaen Gay
Teri Ankhon May Aisay Apna Aks Rakh Dein Gay
Sab Key Chehray May Bus Hum Hi Nazar Ayien Gay,
Ji Tum Pass Rehnay Chaho Gay Mere
Tumha Tum Se Judaa Ho Key Staien Gay ,
Teri Mohbbat May Rang-e-Wafa Hai Kitna
Khayal Rakhna Kabhi Hum Tumha Azma
Vaada e aitbar kiya soz e nihaan dil mera tadap utha
Vaada-E-Aitbar Kiya, Soz-E-Nihaa.N Dil Mera Tadap Utha
Intezaar Mei Bhiigii Mizhgaan, Dahaliiz Pe Teri Baitha
Tumhaare Tagaaful Mei Kasak Uthi, Khoob Beqaraar Sa Hua
Ke Ab Na Hosh Havaas Raha, Teri Tasveer Chumta Hi Raha
– Sheikh Muqtar
Dil mera daagon kii bahaar se ubhar
Dil Mera Daagon Kii Bahaar Se Ubhar Hi Gaya
Yaad-E-Yaar Ki Aah Mein Soz-E-Nihaan Ho Gaya
Bin Tere Lamhaa Guzra Aatish-E-Khaamosh Jal Gayaa
Jb Yaadon Ke Silsile Uthe Bemuhaabaa Sangeen Ho Gaya
– Sheikh Muqtar
Quaid thei unke dil mein dhadkane bann
Quaid Thei Unke Dil Mein
Dhadkane Bann Kar Seene Mein Rahe
Hue Woh Kuch Iss Tarah Se Bewafa
Dil Soz-E-Nihaan Mein Jal Gayaa
Tark-E-Muhabaat Ummed Na Thi
Ashk-E-Nidamat Daagon Ki Bahaar Hui
Khayaal-E-Wehshat Se Mujeh Kya ‘Sheikh’
Dum Nikalta Hai Teri Agosh-E-Tanhai Ki Justju Mein
– Sheikh Muqtar
Welcome to urdushayariorg urdushayari is a comprehensive
Welcome to UrduShayari.org!
UrduShayari is a comprehensive library of Urdu Poetry. We have the best urdu shayari collection on the internet. It helps you to find poems about your favorite topics from your favorite authors more easily.
We hope that you enjoy this feature as we continuously strive to expand & deliver our free service.
Shiddat e dil ka aalam toh
Shiddat – E – Dil Ka Aalam Toh Dekhiye
Kya Dikhe Sitaare Zaraa Chand Toh Dekhiye
Sukoon – E – Zindagi Mein Na Mila Kabhi
Ishq Kya Karte Zaraa Aashik Ko Dekhiye
Raasto Se Saamna Na Hua “Masroor”
Kya Milte Apne Zaraa Musafir Ko Dekhiye
Yun Woh Zamaana Behad Rangeen Tha
Kya Dikhte Nazaare Zaraa Chehre Ko Dekhiye
Khayaal Toh Uska Har Waqt Aata Raha Kareeb
Khwaab Kya Dhundte Zaraa Haqiqat Ko Dekhiye
Zubaan Se Sach Ikrar Hota Kyun Nahin
Kaha Milti Wafaa Zaraa Bewafaa Ko Dekhiye
– Masroor
Nikle jo aankho se ashq tou qutar e shabnam
Nikle Jo Aankho Se Ashq Tou Qutar-E-Shabnam Piiya
Dard-E-Pinhaan Mehsoos Hua Teri Tanhai Mein Shamil Hue
Na Koi Sila Na Fasanaha-E-Alam Na Ab Koi Muntazir Baki
Laut K Aaya Parvana Habiba Karde Fanaa Imandari Se Tujhme… Aadaab
– Sheikh Muqtar
Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom
Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki inteha maloom hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai..
Bicher jana tu os k liye maenay nahin rakhta,
Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta,
Rota nahin ya osay rona nahin aata,
Sungdil hai ya phir aankhon mein pani nahin rakhta….
Aashna hotey huay bhi aashna koi nahin
Jantey hain sab mujhy pehchanta koi nahin
Mukhtasir lafzon mein ye hai mizaj-e-dosti
Rabta beshak hai sab se wasta koi nahin
Mere aur Us ke chahne me ek farq tha,
Mujhe wo aur Us ko sara zamana chahiye tha
Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe,
Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe
Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye,
Jisse hum apna Humsafar samajh baethe
zakhm itna gehra hain izhaar kya kare
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare
so gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya kare
Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha
Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kiyon tha
Apni chahat ka yaqin dilaya kiyon tha
hooti manzil ka neshan banaya kiyon tha
Wo muskra k dard taal deta hy,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hy.
Nazar utha k jis ko dekh le wo ek bar,
Yaqeen karo usay mushkil main daal deta hy.
Bus ik zara khayal is dosti ka tha,
Warna bohat gila teri berukhi ka tha,
Mujhko laga mai b teri zindgi men hoon,
Per ye to koi dhoka meri saadgi ka tha…
Rishta e ulfat sajaane aaye they tere dil ki
Rishta-E-Ulfat Sajaane Aaye They, Tere Dil Ki Mehfil Mein
Taskiin-E-Iztiraab Kasam Teri, Tujhe Apna Banane Aaye They
Sazaa Di Tune Hume Kaisi, Phoolon Se Jakham-E-Dil Tapish Mein
Khud Ko Bewafa Samajh Hum, Tera Dard-E-Dil Apnane Aaye They…
– Sheikh Muqtar
Main tu insaan k ziada kareeb hoon
Main Tu Insaan K Ziada Kareeb Hoon
Tu……….Sun Mere Maalik !
Meri Qismat Ki Siyaa Bakhtii Par
Tere Karam Ki Baarish Kab Hogi
Meri Tu Sirf Itni Faryaad Hai
K……….Aaj Ki Shab..
Ya Meri Manzil Ka Pata Bata
Ya Phir Hamesha K Liay Faryaad Karne Wali
Zabaan Khamoosh Karde
Kion K……….
Ab Asi Hayat Ki Mujhay Aarzoo Nahin
Jis Main Mohabbat Meri Manzil Na Ho
Koi aata hai yaad bahut sonay say
Koi Aata Hai Yaad Bahut Sonay Say Pehlay….
Chun Laita Hai Ansoo Maray Ronay Say Pehlay
Phir Rehta Hai Raat Bhar Woh Aisy Samnay
Main Aksar Chal Parta Hoon Uska Hath Thamay
Phir Neend Ayay Tou Main Sona Nahi Chahta
Kisi Qeemat Pay Usay Khona Nahi Chahta
Ho Jaiy Woh Kaash Mara Mujhay Khonay Say Pehlay
Jo Aata Hai Yaad Bahut Sonay Say Pehlay……….
Hum ye nhi kehte ke koi unke
Hum ye nhi kehte ke koi
unke liye dua na maange ,
hum ye nhi kehte ke
koi unke liye dua na maange ,
bus itna chahte hai k koi
dua me “UNKO”na maange
anjan1ind@gmail.com
Waqt ke saath daayra badh jata hai
Waqt Ke Saath Daayra Badh Jata Hai
Pyar Maa, Patni Aur Bachche Me Bat Jata Hai
Fazul Si Shikayet Rehti He Aksar Ki
Beta Shadi Ke Baad Badal Jata Hai
Kabhi Mom Kabhi Faulaad Hai Aadmi
Kahin Abaad Kahin Barbaad Hai Aadmi
Paise Ki Dugdugi Pe Naach Raha Hai
Akhir Bandar Ki Aulaad Hai Aadmi
Parde Ki Baat Ab Sare-Aam Hoti Hai
Bandishe Waqt Nahin Subho Shaam Hoti Hain
Mohabbat Jo Janmo Tak Rehti Thi Zinda
Ab Bus Ek Raat Me Tamaam Hoti Hai
– Dev Arjun
Kaanto se bachkar chale the mohabbat ke
Kaanto Se Bachkar Chale The, Mohabbat Ke Imtehaan Mein
Shammaa-E-Kushtaa Hun, Rehna Tha Tere Mehfil-E-Dil Mein
Tere Dil Ki Gali Tak Raasta, Gaya Nahi Mohabbat-E-Ishq Mein
Daagh-E-Firaaq Na Manzoor Muje, Hona Tha Fanaa Kahin Tujh Mein… Aadaab.
– Sheikh Muqtar
Koi su8217nn na lai unkahi baatain zindagi
koi Su’nn na lai unkahi baatain..
Zindagi ko na chairro…ro dey gi…
jab yai roey gi tou merey dil ki aawaz
Sunaai dai gi, jaisey koi ghum ka saaz
aur yun merey ehsaas mai samaey gi,
Yaad yun aaien gi wo sab guzri baatein
har beet_ta pal apney aap main kho ker
thora mujh se qareeb, thora door ho ker
mujh sai apnay anjaan honay ka
gila karay ga
Ehsaas hoga…
kay, aankhon kay yai aansoo..
ye meri hasratein, ye justujoo
bai naam nahi hain,
muntashir in mai haein guzri baatein
wo beeta pal wo guzra huwa kal
kabhi kabhi anjaaney sapnon ki raah sajaey
apni nazrain chupaata huwa…..
mujh ko anjaan nazroon sai dekhta jaey..
Ehsaas hoga…
kay, ird gird kay log…
kuch aisay guzertay hain merey paas sai..
kay main koi jism nahi, ek saya hoon
aik aisa aks hoon jis ka koi wujood nahi!
mujh mai koi mojood nahi
Aik tarap hai…..
unkahi si….
aik khalish hai…
Dabi dabi si
jis kay ehsaas ka koi naam nahin
aik rog hai…
ba zahir koi zakhm nahin…
aik soag hai …aik ahh si hai…
jis ki apni koi Aawaaz nahin…
raaz aisa hoon mai ke jiska koi
hamsukhan, hamnafas hamraz nahi
Kis say kahoon ?
kis kis ko samjhaoon…
kay aur ronay ko dil ab nahi kerta…
koi laikin kiya jaaney, kiya samjhey..
kay inn aankhon sai na janey
kabhi kabhi.. kitney aansoo barastey hain…
Or yai dil tou….
aksar hi aasooda-e-gham rehta hai…
Woh jatey jatey Aankhon mai sapney saja gaya
Goya baghair saans kai jeena sikha gaya.
Mahheen.
Tere maathay pe jab tak bal raha
Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai
Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai
Samaatay Kia Nazar Mein Chaand Taaray ?
Tasawwur Mein Tera Aanchal Raha Hai
Teri Shaan-e-Taghaaful Ko Khabar Kia ?
Koi Tere Lye Be-Kal Raha Hai
Shikaayat Hai Gham-e-Dauraan Ko Mujh Se
Ke Dil Mein Kiun Tera Gham Pal Raha Hai ?
Taajub Hai Sitam Ki Aandhion Mein
Charaagh-e-Dil Abhi Tak Jal Raha Hai
Lahoo Royein Gi Magrib Ki Fizaayein
Badi Tezi Se Sooraj Dhal Raha Hai
Zamaana Thak Gaya, Jaalib Hee Tanha
Wafaa Ke Raastay Pe Chal Raha Hai
Hayaat e safar mein guzr gaya woh muqam ranj o musiibat
Hayaat-E-Safar Mein Guzr Gaya Woh Muqam
Ranj-O-Musiibat Simat Kar Mere Daman Se Gire
Chaman Ke Phool Khiza Mein Ab Kya Khile Hain
Ke Rishta-E-Ulfat Dhua Ban Kar Barish Se Gire
Silsila-E-Ishq Mein Uzr-E-Jafaa De Na Sakae
Nighae Milli Unse To Ghaayal Mehfil Mein Gire
Vaqt-E-Rukhsat Door Nahi Tisnagi Tujse Mit Gayee
Akhari Sanse Khuvaar Hui Sheikh Jam-E-Sharab Pee Ke Gire
– Sheikh Muqtar
Talu e subah shahadat h raat doob gyi lahu
Talu-E-Subah Shahadat H Raat Doob Gyi
Lahu Me Beyate Fasiq Ki Baat Doob Gyi
Idhar Hussain Ki Gardan Par Mus Hua Qanjar
Udhar Yazeed Ki Nabze Hayat Doob Gayi…
– Syed Zakir Raza Zaidi
Namaaz parhoon to dua mai haath uthati
Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon,
Akailay Mai Hoon To Faryaad Kar Leti Hoon,
Hijar Ki Raaton Mai, Sisak Sisak Kay Roh Leti Hoon,
Tanhayi Kay Dinon Mai Uss Ki Aik Jhalak Dekhnay Ko Taras Jaati Hoon,
Chalte Chalte Raahon Mai Uss Ka Rasta Takti Hoon,
Aik Din Insha’allah Humara Hoga Millan,
Iss Umeed Kay Saharay Dil Behla Leti Hoon
Vahashat e shabana baad e tund tum lipat gayee mujeh sharm o haya
Vahashat-E-Shabana Baad-E-Tund, Tum Lipat Gayee Mujeh
Sharm-O-Haya Se Balakhaake, Tum Kaske Simat Gayee Mujeh
Zulfon Se Barasata Paani, Dil Mein Kitne Toofaan Uthaye
Tilismaat Ki Raat Mein, Mujh Mein Tu Dhire Basate Jaaye…
Sheikh Muqtar
Aankho me arman diya karate hai ham
Aankho me arman diya karate hai,
Ham sabki Neend Chura liya karate hai,
Ab jab jab aapki palke Zukengi,
Samaj lena ham aapko yaad kiya karate hai.
kaash wo nagme humein sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi tha,
to itni gehrai se dil mein samaaye na hote..
Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai,
Nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai,
Tere bina zindagi mein kami toh nahi,
Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Tapan suraj se hoti hai,
Tapana Zameen ko padta hai,
Mohabbat Ankho se hoti hai,
Tadpana dil ko padta hai.
Bhula kar hame wo khush reh payenge
sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge!
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se.
Lamha Lamha ye waqt gujar jayega
Bas khuch hi ganto baad naya saal ajayega
Isliye Abhi se naye saal ki badhai lelo
Warna Bazi koi aur mar jayega.
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala diya.
Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..
Teri ankhon se ashk e gam nikle gire jaha
Teri Ankhon Se Ashk-E-Gam Nikle
Gire Jaha Tabdil-E-Sailaab Hua
Tasvir-E-Mohabbat Dekhi
Dil Mera Lutf-O-Karam Hua
Hijar Ye Mustaqil Nahi
Laut Aaya Hun Bewafa Tou Nahi…
– Sheikh Muqtar
Nazro ki talaash mein mith chuka hai
Nazro Ki Talaash Mein Mith Chuka Hai Aks Mera
Ke Aaine Ki Aahaton Se Toot Chuka Hai Dil Mera
Bayaan Nahin Hota Hai Ab Sach Ka “Masroor”
Ke Jhoot Ki Baaton Se Badal Gaya Hai Yaar Mera
Takleef Hoti Hai Jab Woh Mussaraat Ke Logon Nahin Milte
Ke Ajnabee Se Takrakar Jhalta Hai Dil Mera
Ab Kaise Jalaau Shamaa Us Shaks Ke Naam Kahin
Jab Ki Uske Naam Ke Zikr Se Choor Ho Jaata Hai Dil Mera
Koshish Sirf Rehti Hai Yeh Dil Ko Samjaane Ki
Ke Us Farebi Se Milke Badal Gaya Hai Yaar Mera
Ab Aisi Talaash Mein Na Raho “Masroor”
Ke Chalte Chalte Maut Se Dosti Ho Jaaye
Ke Zindagi Se Mohabbat Karke
Kabr Mein Pohuch Chuka Hai Yaar Mera
– Masroor
Mari zindagi ka karar bhee tu her
Mari zindagi ka karar bhee tu
Mari her khushi ka izhar bhee tu
Mara bey-tehasha piyar bhee tu
Mari khuwaishoon ka dedar bhee tu
Mari ankhoon ka hai noor bhe tu
Mari zindagi ka saroor bhee tu
Maray ghum mein hai dhaal bhee tu
Maray her per waqt zehan-o-guman mein tu
Mari zindagi ka aarough bhee tu
Mari zindagi ka zawal bhee tu
Mari ashiqi ki sachi misal bhee tu
Mari zindagi ka husn-o-jamal bhee tu
Maray dil ka her aik khayal bhee tu
Mara wajood ka ____ hai ahsas bhee tu
*«´¨`·.¸¸.*¤* *¤*.¸¸.·´¨`»*
*«´¨`·.¸¸.*¤* IMRAN m3m0n *¤*.¸¸.·´¨`»*
*«´¨`·.¸¸.*¤*master_of_java_no1@…*¤*.¸¸.·´¨`»*
*«´¨`·.¸¸.*¤* *¤*.¸¸.·´¨`»*
Woh jazbaat e dil tera meri nam ankhon mein
Woh Jazbaat-E-Dil Tera, Meri Nam Ankhon Mein Ja Basa
Wafaon Ka Taluq Tha Unse, Silsila-E-Ishq Mein Bewafaa Raha
Woh Na Roye Mere Zikr Per Kabhi, Barish Ka Mausam Ab Na Raha
Ankhon Mein Gahrai Thi Magar, Dil-E-Dariya Khali Tha… Aadaab
– Sheikh Muqtar
Ilzam bewafai ke unko de raha hoon
Ilzam Bewafai Ke Unko De Raha Hoon
Shak Ho Raha Hai Mujhko Main Khud Hi Bewafa Hoon
Har Jism-E-Gulfaroshan Ab Markaj-E-Nazar Mein
Tumse Bichad Ke Kitna Aawara Ho Gaya Hoon
Is Sham-E-Bekasi Mein Dil Ki Khabar Nahi
Kab Se Kahan-Kahan Main Aaj Ro Pada Hoon
Is Lamha-E-Khushi Mein Afshana-E-Shab-E-Gham
Kuch Tum Bhi Bhulte Ho, Kuch Main Bhi Bhulta Hoon
– Bashir Badr
Gire jo ansoo tere ek sawal leke
Gire Jo Ansoo Tere
Ek Ek Sawal Leke Ubhre
Dil-E-Zaar Hum Thei Tumse
Samjha Ashiq-E-Bewafa Jo Tumne
Shish-E-Dil Mera Toda Rehja Rehja
Phir Bhi Rahi Tum Meri Pyari Aziza
Dekho Hai Ye Akhri Saans Hamari
Kubul Karo Salaam-E-Ishq Hamari
Na Lana Kabhi Dil-E-Ranjoor
Aaoge Jab Tum Dair-O-Haram…
– Sheikh Muqtar
Doosron k khayalon mein seindh laga lete
Doosron K Khayalon Mein Seindh Laga Lete Hain Log,
Daaon-Peinch K Dum Pe Khud Ko Azmad Bana Lete Hain Log,
Tune Munh Kaya Phera Sabhi Sapne Hue Kaafoor,
Saanjh Dhale Jaise Chhat Se Kapde Utaar Lete Hain Log,
Yaadon Mein Uljhe Aksh Na Ghat-Te Hain Na Badhte Hain,
Anjaan Bastiyon Me Bhi Dil Laga Lete Hain Log,
Wo Aankhe Chahte Hue Bhi Kuchh Na Keh Saki,
Rivazon Ki Duniya Me Mushkil Me Phasa Dete Hai Log,
Sach To Sach Hai Jitna Hai Utna Hi Rahega,
Jhoot K Daayere Ko Badha-Ghata Lete Hain Log….
– Dev Arjun
Haalat e ghamo ka afsana kaha hai
Haalat E Ghamo Ka Afsana Kaha Hai
Mere Dil Ke Dard Ki Davaa Kaha Hai
Bahut Zakhm Khaaye Hai Maine Zindagi Se
Ab Kya Jeeye Masroor Mere Maut Ka Samaan Kaha Hai
Roz Woh Hi Mulaqaate Bhi Achhi Nahin Lagti
Koi Nayi Tasveer Ka Aaina Kaha Hai
Sooraj Roz Dhalta Hai Apne Waqt Par
Mere Chand Ka Ghar Kaha Hai
Nikal Padta Hoon Bheed Mein Sabhi Ke Saath
Aakhir Main Mera Raasta Kaha Hai
– Masroor
Uski bezaar e bad dua mein hayaat meri gujarne
Uski Bezaar-E-Bad Dua Mein Hayaat Meri
Gujarne Lagi Maikhane Mein Kahi
Hume Malaamat Mili Saki Ke
Shamil Hue Tere Shab E Maikhane Mein
Tere Dard-E-Gham Mein Dil E Zauq-E-Talab
Ab Na Koi Tanhai Rahi Na Kisika Khuloos-E-Qalb
Jam-E-Sharab Hardum Chalkta Gayaa
Tarz-E-Tapaak Main Sharabi Pita Gayaa
Woh Samjhe Ke Barbaad Hue Hum
Kaise Kahu O Bewafa Maikhane Se Roshan Hue Hain Hum
– Sheikh Muqtar
Basti basti khor udasi parvat khali pan
Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..
Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..
Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………
composed by..Dr.kumar vishwas
a good poet,,,,I M VERY LIKE THISSSS
Neendein bhi meri ankhon se churati hai
Neendein bhi meri ankhon se churati hai wohi
So jaoon to khawabon mein satati hai wohi
Har zakham ka khaliq bhi koi aur nahi hai
Har zakham pe marham bhi lagati hai wohi
Veeran bhi rakhti hai shab-o-roz wo meri
Kamrey mein phool bhi sajati hai wohi
Youn to mujhe wo yaad kiya karti hai aksar
Jab chahe magar bhool bhi jati hai wohi
Ye bhi theek hai bhool gaya hoon main usey
Ye bhi ghalat hai ke mujhe yaad nahi aati wohi……
in my dreams u r mine…
in my life ur a dream…
From: chayan jain (chayanjain8@yahoo.in)
Teri saanson ki thakaan teri nigahon ka
Teri saanson ki thakaan, teri nigahon ka sukoot
Dar haqeeqat koi rangeen shararat hi na ho
Main jissay pyar ka andaz samajh baitha hoon
Woh tabbasum, woh takkallum teri aadat hi na ho….!!!
rizwan1942@yahoo.co.in
Tasawur tera jo mujhe choo na saka
Tasawur Tera Jo Mujhe Choo Na Saka
Meri Her Saans Teri Hi Khushbu Aaye
Ye Kis Mod Per Le Aayi Hai Teri Justuju
Pani Mein Aks Mera Hai Aur Nazar Tu Aaye
Yun chalte thodi zindagi se toh mil
Yun Chalte Chalte Thodi Zindagi Se Toh Mil
Na Mile Manzil Kinaare Se Toh Mil
Dard Dil Ka Yun Roz Ubharta Hai
Na Mile Woh “Masroor” Dariye Se Toh Mil
Aasu Peene Ka Zikr Toh Woh Roz Karta Hai
Na Peeh Sake Usse Zaraa Maikhane Se Toh Mil
Hazaaro Jism Ka Hua Tha Sauda
Na Mile Chandni Mere Chand Se Toh Mil
Be Kasur Tha Phir Bhi Bewafaa Thehra Diya
Ab Kaha Wafaa Zaraa Bewafaai Se Toh Mil
Sharto Ki Duniya Se Thak Chuka Tha Main
Ab Kya Milti Zindagi Meri Kabr Se Toh Mil
– Masroor
Ishq ka dariya kitna gehra hai kareeb
Ishq Ka Dariya Kitna Gehra Hai,
Kareeb Se Dekho Usse Woh Sirf Dil Ko Sulgata Hai,
Kya Bebasi Mein Ab Woh Ishq Ko Samajhte,
Haalat Kuch Ab Milte Nahin Waqt Se,
‘Masroor’ Woh Saahil Dikhta Hai Apna Lekin Kinara Khisak Jaata Hai…
– Masroor