Kuch is terha guzarti ab, humaari har shaam hai,
Ek haath tasveer unki to, aik haath jaam hai!
Bekar hai yad deelana, ke shaye ye haram hai,
Sab kuch bhul jate hai, jab koi leta unka nam hai!
Hum to yehi kahenge, Mai be-wajah badnaam hai,
Dard-e-dil se humko to, pahunchaati ye araam hai!
Tawah karti hai sarab, galat is par ilzam hai,
Madadgar ka badnam hona to, kudarat ka nizam hai!
Hum ghamkhaaron ka mai ko, Tah-e-dil se salaam hai,
Bina iske to khudaa jaane, kya humara anjaam hai!
Urdu Dard Shayari
Urdu Dard Shayari
Uss pe khool jati mery shok ki
Uss pe khool jati mery shok ki shidut sari,
Dekhy hoty jo mery paon ke chaaly uss ny.
Jis ka her aeyb zamany se chupaya men ny,
Mery qissay sar-e-bazar uchaaly uss ny.
Meri dum torti khawahish ka khayal aa na suka,
Apny armaan hamesha hi nikaaly uss ny.
Ak mera hi to haath na thama uss ny,
Werna kitny hi girty hoey sumbhaaly uss ny.
Jub ussy meri mohabat per bharosa hi na tha,
Kiyon diye meri wafaaon ke hawaaly uss ny.