Pyar ke phoolon se mehkein aap,
khushiyon ke jhoolon me jhulein aap,
hai hamari yahi tamanna,
kabhi hasna na bhoolein aap.
`
Samne aakar muskura kar chal diye.
Meri ZINDAGI ko veraan bana kar chal diye.
Unhe HASANE ki kasam khai thi mene.
Meri hasi ko apni hasi bana kar chal diye.
`
Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
Dil Mein Tufaan Utha Karte The
`
Main Paaglon Ki Tarah Been Baza-Baza Ke Thak Gaya,
Wo Thi Ki Meri Bhais Ki Tarah Jugali Hi Karti Rahi.
`
Humari baAton se ittefaq karoge kyon nahin
Main jo andheron me khara hun ik roushni liye
Ek ummid hai qayam abtak mujhme JAAN
main aasmaan bichhaunga tumhari zameen ke liye.
`
Aye khuda karde faana mujhko mohabbat mein.
Zindagi karde khatam unki hi chahat mein.
Hai meri yeh aarzoo marne se bus pehle.
Char pal main jea sakoun unki inayath mein.
`
Ay Dost Kabhi Ziker-E-Judai Na Karna,
Mere Barose Ko Ruswa Na Karna,
Dil Mai Tere Koi Aur Bas Jaye Tu Bata Dena,
Mere Dil Mai Reh Kar Bewafai Na Karna.
`
Hum to unki yaad me abhi tak nahi soye,
Zakhm gahre the magar fir bhi nahi roye,
Lutne ko to sab kuch lut gaya —Alam– ,
Bas ye dard-e-judaai hi thi jise humne nahi khoye.
`
Ibaadat rab ki aur surat yaar ki ho..
Sajda rab ka aur rasam pyar ki ho
aashiqo ke mazhab ka kya kehna
zikra rab ka aur baat yaar ki ho…
`
Dil se dil badi mushkil se milta he
Toofano me sahil mushkil se milta he
Mil jaate he hazaro gaal gulabi
Lekin har chehre par till mushkil se milta he.
`
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
`
Dil se duvae bheji hai.
man ki umange bheji he.
Is paigam ko shabdo ka dher mat samajana
humne apni takdir se churakar thodi khushiya bheji he…