Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna
Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna
Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein Rehna
Khud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna
Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho
Raas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna
Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari Baabat
Ikhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna
Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna
Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna
-Parveen Shakir Poetry