Ajab halaat they mere

Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha, ke tum sath thay meray
meray zar k talabgaron ki nazrain uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray
mai ik pathar ka gard alood buut tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray
kisi se aur kia taiyeed ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram e halat thay meray
mai jin sholon maii jalta tha sayey tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmat thay meray
mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay bhi ilzamat thay meray
tasawor ban geua tasveer aakhir aik din woh
ici ka khoaf tha mujh ko yehi khadshat thay meray