Bachpan Ke Wo Umr Bhee Ab Gujar Gai Ey Dost
Iss Chehre Me Tum Ab Wo Maasumiyat Na Paaoge,
Wo Kehte Hain-Â…ke -Ë—Photo-‘ Ki Khaatir Hi Muskura Do
Eise Jhoothe Se Lamhe Sanjokar-Â…..
Bhala Batao To Tum, Kiska Dil Behlaaoge.
Meri Titliyaan Pakadne Ki Umr Bhi Gai Abto
Or Kabtak Mujhe Iski Baareekiyaan Samjhaoge,
Wo Kehte Hain-Â…band Botal Me Ye Khoob Nazar Aati Hai
Wo Jo Gujar Gai-Â…..Wo Ik Umr Ki Naadaani Thi
Ab Is Umr Me Kya ? Ye Dard Bhi Dikhlaaoge,
Mai Kahaan Seedhaa Khada Hoon Apne Pairon Par
Wo Kehte Hain-Â…jaam Uthao Jhoomo Or Gaao,
Mujhe Khabar Hai Ey Dil-Â…Apne Sur Or Taal Ki Bhi
Mai Door Rehkar Bhi In Sabka Lutf Uthata Hoon
Tum Mujhe Is Bheed Ka-Â…His.Sa Banaane Per Na Jaao,
Haan Ye Sach Hai Ke Mai Apne Hi
Andaaz Me Jiya Karta Hoon,
Dekho Ek Kaam Karo-Â…Mujhe Eise Hi Sweekar Karo
Mujhe Apne Kehne Waalon Ki Bheed Bahut Lambi Hai
Ho Sake To Tum -Ë—Mere Apno-‘ Me Aa Jaao.