Kabhi Kabhi Tanhai Me, Bas Yu Hi Mai Sochta Hu,
Ki In Sookhe Darakhto Pe Kya Phool Aana Lazmi Tha,
Jab Pehli Baar Mile The Hum, Aur Tune Mujh Ko Dekha Tha,
Kya Tera Mujh Ko Dekhke Phir Muskurana Lazmi Tha,
Kuchh Tu Mujhe Thi Jaanti, Kuchh Mai Tujhe Jaanta Tha,
Kya Is Zara Si Baat Pe Yu Paas Aana Lazmi Tha,
Kabhi Kabhi Tanhai Me Bas Yu Hi Mai Sochta Hu,
Ki In Sookhe Darakhto Pe Kya Phool Aana Lazmi Tha,
Jab Tune Thama Haath Mera, Par Maine Khud Ko Roka Tha,
Jab Tune Dil Ki Baat Kahi, Par Maine Tujhko Toka Tha,
Shayad Mai Darta Tha Khud Se, Ya Phir Chahat Se Darta Tha,
Reh Reh Ke Jisko Chaha Us Jhooti Rahat Se Darta Tha,
Tab Tu Hi Mera Aasma Aur Tu Hi Meri Sar Zamee Tha,
Kya Is Wajah Se Yu Hi Apna Dil Jalaana Lazmi Tha,
Kabhi Kabhi Tanhai Me Bas Yu Hi Mai Sochta Hu,
Ki In Sookhe Darakhto Pe Kya Phool Aana Lazmi Tha
Jab Tune Mujhe Bataya Tha Ki Pyar Tu Mujh Se Karti Hai,
Tab Armaan To Pyare Se Kuchh Mere Bhi Dil Me Jaage The,
Ik Pal Ko Ye Ehsaas Hua Ye Duniya Jaise Jannat Hai,
Ya Shayad Us Pal Ke Nazraane Jannat Se Bhi Aage The,
Zindagani Ke Safar Me Ik Vo Hi Manzar Haseen Tha,
Dil Ki Bandisho Se Phir Yu Paar Aana Lazmi Tha….
– Supriyo