lakh nafrat ho, wo pyara bhi to ho sakta hai

aaj wahi shakhs, hamara bhi to ho sakta hai

mai ye aisey hii nahii chhan raha hoo’n ab tak

khaak mai koi sitara bhi to ho sakta hai

garr muqaddar ka ho saya merey sar par lowgo

phir ye toofan kinara bhi to ho sakta hai

ayn mumkin hai k ye biinayee mujhe dhoka de

ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai

iss mohabbat mai harr ik shai ko luta daite hain

iss mohabbat mai khasara bhi to ho sakta hai

daikh tu uss ki nazar, sirf zaba’n ko matt daikh

bund aankhain ik ishara bhi to ho sakta hai