Udd Rahe The Hum Abh Tak Uski Mahobat Ke Pankho Sai Lekin,
Kat Gaye Pankh To Khak-E Tanhaiyon Mai Milna Hi Padaa,
Ghir Gaye Phool Armano Ke Daal Sai Toot Kar Lekin,
Unki Hasrat Ke Liye Inko Phir Khilna Hi Padaa,
Thi Bohat Abhi Uske Chiragon Mai Roshni Lekin,
Chiraag Ban Ke Hamko Uski Mehfil Mai Jalna Hi Padaa,
Chahte To The Ummar Bhar Nibhana Saath Uska Lekin,
Majboori Thi Jo Zehar Judai Ka Peena Hi Padaa,
Abhi Takk Taza The Zakham Uski Judai Ke Lekin,
Uske Lout Ane Ke Shubah Mai Har Zakhm Ko Seena Hi Padaa,
Bichad Kar Uss Se Mout Thi Zaroori Lekin,
Uski Kasmo Ki Zanjeeron Mai Jeena Hi Padaa,
Behta Reha Uski Yadon Ka Lahoo’dil Say’ Lekin,
Ho Na Jaye Wo Badnaam Bhari Mehfil Mai Kahi,
Bnaa Kar Jaam Lahoo Ka Hamey Peena Hi Padaa