Tera Shukria
Ada Ho Tu Kaise
Jab Bhi Dasa Tanhaie Ne
Teri Bahain Gale Ka Har Huin
Jo Hu Ein Aankhain Ashkbar
Tune Daman Main Samete Aansoo
Meri Hi Khushi Ki Khatir
Pahna Taauq Ruswai Ka Main
Main Khud Gharz Too Nahin Thaa
Phir Aasmanoon Main Kahan Khoo Gaya
Soochtaa Hun
Mujrim Hun Main Ya Ke Qatil
Ab Apne Hi Saye Se Darta Hun
Tere Wajood Ko
Har Gaam Per Dhundta Hun
Tere Lams Ko
Har Saye Main Dhundta Hun
Tujhko Ilm Hai Ke Nahin
Is Zinda Laash Ko
Quin Dhoo Raha Hun Abtak Ab Bhi
Aik Muhmil Sa Yaqeen Hai Jabhi Too
Sunghta Phirta Hun Hawaaun Ko
Shaid Teri Khushboo Takra Jaye
Aur Phir Aur Phir
Meri Yeh Saza
Jaza Main Badal Jaye Warna
Tera Shukria Ada Hu To Kaise