Soch Ki Dehleez Per Thehrey Huwe Hain
December K Maheeny Main
Hazaroon Saal Pehle Jab
Tere Wadhon K Honton Ne
Meri Ankhoon Se Behti Zindgi K
Hath Chomey Thy
Meri Berang Batoon K Kinarey
Tum Ne Khawboon K Saharey
Ashkoon K Sitarey Rakh Diye Thy

Aur…!
Hawa Ko Apni Chahat Ki Hifazat Ka
Ishara Ker Diyaa Thaa
Hawa Ki Hankiyoon Main
Ab B Teri Naram Batain
Ahtoon Ka Jaal Bunti Hain
Samaaat Ab B Tere Kahkahoon Ka Shoor Sunti Hai
Khyaal Ab Tak Tumari Ungliyon Se
Mere Dil K Surkh Ansoo Ponchta Hai
Nigahain Baraf K Pheley Chamktey
Kanvas Per Ja Baja Teri Rafaqat Ki Zarorat
Paint Kerti Hain
Thitharty Paniyoon K Tan Pe Bikhri Dhoop
Teri Hijer Roti Hai
Kahan Hoti Hai Tu
Muhabat Ki Sulagti Rahguzaroon
K Kinaroon Per
December Ab B Tera Muntazar Hai…!