Pehle Pyaar Ka, Pehla Nasha
Pehle Pyaar Ka, Pehla Ezhaar
Ezhaar Kuch Aise Kiya
Na Kar Paye Wo Inkaar
Shuru Shuru Mein Dil Darta Tha
Ab To Kambakt Mein Koi Sharm Bi Nahi
Vaise To Milne Ka Vada Nahi Kiya
Par Unko Hoothon Par Inkaar Bhi Nahi
Samaj Nahi Ata Tha, Baat Kahan Se Shuru Karun
Aab To Moka Dekte Hain Baat Karne Ka
Chalte Chalte Unse Jaan-Buch Ke Takrate
E Khuda, Moka De Uska Haath Pakdne Ka
Pehle To Neend Bahut Ati Thi, Ab To Dastak Bi Nahi Deti
Chand Se Puchta Hun “Meri Mohabbat Kya Kar Rahi Hogi”
Raatein Itni Lambi Hoti Hain, Humein Malum Nahi Tha
Tab Sitaron Nhe Kaha “Woh Tere Bare Mein Hi Soch Rahi Hogi”
Unse Milne Ki Umeed Mein, Ghanto Pehle Tyaar Hona
Charon Taraf Khusiya Hi Khusyia, Khuda Ki Ham Par Rehmet Thi
Bina Dekhe Uski Tasveer Bana Dethe The
Itni Kashish Humari Mohabbat Mein Thi
Usi Jagah Par, Har Roz Uska Intezaar Karna
Waqt Par Na Aneka, Massum Sa Bahana Sunati Thi
Hum B Naraz Hone Ka Natak Karthe The
Phir Galen Mein Bahen Dal Kar, Humein Manati Thi
Abb Yhe Likte Likte Uska Cehra Samne Aya
Laga Jaise Khuda Nhe Janat Se Sare Darwaaje Khol Diye
Itna Dub Gaya Tha Uski Yaad Mein
Jo Likna Chata Tha, Wo Hum Bhul Gaye