Parh Rahi Hai Woh Meri Zindagi Ki Kitaab Ahista Ahista
Hoti Jaa Rahi Hai Woh Bhi Kharab Aahista Aahista
Sunaya Tha Usne Haal-E-Dil Poochi Thi Kon Hai Meri Manzil
Shayd Sach Ho Raha Hai Mera Khwaab Ahista Ahista
Kudrat Ka Khel Bhi Kitnaa Nirala Hai
Kali To Aae Fouran Aur Khila Gulaab Ahista Ahista
Shru Kiya Hai Us Ne Aazmana Chor Diya Ab Muskurana
De Rahii Hai Mujhe Meri Saza Ka Hisaab Ahista Ahista
Barha Diya Hai Unki Gali Main Ab Aana Jaana
Hum Bhi Seekh Rahe Hain Aashiqi Ke Adab Ahista Ahista
Karte Hain Wafa Din Raat Sochte Hain Bas Unki Baat
Milega Humhe Bhi Muhsin Ka Khitaab Ahista Ahista
Farq Dekhen Unke Aur Humare Pyaar Main To Itna
“Muhsin” Ko Thori Jaldi Hai Aur Woh Janaab Ahista Ahista