Mere Kadmon Ke Kuchh Jameen
Or Sar Ke Khatir Ik Aasmaan Chahiye,
Ey Jindgi Mai Tujhe Gungunaana Chaahta Hoon
Mere Geet Ko Mukhda Or Labon Ko Jubaan Chahiye..
Mai Iski Jameen Ko Ik Din Chhoo Hi Loonga
Chahe Laakh Gehra Ho ‘Ye Samandar’
Mujhe Kuchh Or Gehri Saansein Or
Machhli Sa Kaleja Chahiye…
Na Jaane Kon Si Sipi Pe Chupa Baitha Hai
Mil Hi Jaaega Ek Roj ‘Wo Moti’ Mujhko,
Leher Bankar Jo Is Saagar Ko Palat De
Mujhe Wo Ek Hawa Ka Jhokha Chahiye…
Wo Saari Khwaaishein Jo Baadal Bankar
Mere Aaspaas Rehti Hain,
Unse Takrakar Baras Jaane Ke Khaatir
Mere Kad Se Uooncha Ek Parwat Chahiye…
Meri Khaamosh Subhon Ko
Parindon Si Chehchahat Or
Meri Andheri Shaamon Ko Roshni Ki Khatir
Ek Adad Muskuraata Sa Chaand Chahiye….