Mere Ghar Ke Saame Woh Rehti Hai
Apni Palko Ko Jhukae
Khud Se Hi Baatein Karti Hai
Kashish Bhari Uski Aankhein
Jo Dekhe Dekta Hi Reh Jaaye
Bina Kuch Kahe Hi
Saari Baatein Keh Jaaye
Itna Haseen Chehra Dekha Nahi Kabhi
Usi Chehre Ke Noor Mein Dil Doobta Hi Jaaye
Uski Muskurahat Mein Woh Jaadu Hai
Jo Patharo Ko Bhi Muskurade
Uski Baatein Sunkar Na Jaane
Kaise Yeh Pal Beet Jaaye
Aati Hai Jab Woh Saamne
Na Jaane Mujhe Kya Ho Jata Hai
Hehna Chahta Hun Kuch
Kuch Aur Nikal Jaata Hai
Pata Nahi Yeh Jaadu Woh Kaise Karti Hai
Mere Ghar Ke Saamne Woh Rehti Hai
Ji Karta Hai Usse Dekta Hi Rahun
Ji Karta Hai Usse Sunta Hi Rahun
Ji Karta Hai Usike Yaadon Mein
Khoya Hi Rahun Aisa Hi Kuch Mujhe
Usse Kehna Hai Isme Mere Kya Galti
Uska Toh Khuda Bhi Deewana Hai
Barish Mein Bhingna Accha Lagta Hai Usse
Use Chune Ke Liye Har Boondh Tarasti Hai
Use Milne Ko Toh Chandni Bhi Sajti Hai
Apni Khuli Zulfoon Mein
Woh Khubsoorti Se Bhi Zyada
Khubsoorat Lagti Hai
Apni Ungliyoon Se Apne Laton Ko Suljhati Hui
Kya Batau Kitni Soni Lagti Hai
Mere Ghar Ke Saamne Woh Rehti Hai