Loog Kehtay Hai Wo Meray Dar Ka Jogi Ho Gaya Hai
Per Dil Ka Kya Karo Jis Main Kuch Kho Gaya Hai
Un Neghahoon Ki Tapish Meri Dherkan Kay Andaz Nahi Badelti
Wo Ropehla Khoobsuorat Ihsaas Ander Kaheen Kho Gaya Hai
Us Ka Mehakta Hoa Lehja Ander Koi Phole Nahi Khilata
Gar Such Keh Doon Tu Wo Khud Hi Pagal Ho Gaya Hai
Woo Jo Bursoon Apnay Gher Ki Talaasah Main Laga Raha
Abhi Thori Hi Dair Pehlay Apnay Gher Ko Gaya Hai
Meree Ander Ki Wehshattoon Kay Jawab Main Abhi Abhi
Wo Aik Lafz Kay Badlay Main Mohhabbat Bo Gaya Hai
Usay Kesi Nay Bursoon Say Nahi Dekha Shayaid
Per Abhi Thori Hi Dair Pehlay Meray Pass Say Tu Gaya Hai
Aik Boond Ki Payas Liay Wo Phir Raha Tha Bursoon Say
Per Wo Janta Nahe Wo Tu Khud Kab Ka Samender Ho Gaya Hai