Kitni Banaay Gi Kahaniyaan Kitnay Hongay Afsanay,
Log Takhleeq Karenge Mera Kirdaar Mere Marnay Ke Baad
Kuch Log Mere Dam Se Hain Khush Boohat,
Rakhay Ga Unhain Khush Kon Mere Marne Ke Baad
Kon Yaad Rakhta Hai Kissi Ko Is Zamane Main, Phir Bhi Aisa Lagta Hai,
Yaad Rakhen Ge Dost Mujhe Mere Marne Ke Baad
Main Yun Sab Ko Chor Ker Jana To Nahi Chahti,
Najane Kon Kis Ka Ho Mere Marne Ke Baad
Main Bhi Dekhoon Gi Aakhir Hai Wo Kon Neha,
Jis Ke Aansoo Samander Banaen Ge Mere Marne Ke Baad