Khuda Khud Sochta Hoga
Diye Sab Husn K Jab Usne Roshan Kar Liye Hongay
Phir Usne Apni Jannat Say Kai Manzar Liye Hongay
Teree Tasveer Main Jab Rang Sare Bhar Liye Hongay
Khuda Khud Sochta Hoga K Ye Tasveer Kis Ki Hay
Chamak Bakhshi Tere Chehre Ko Usne Mahtabon Ki
Basain Usne Tujhmain Khushbuain Khiltay Gulabon Ki
Dhanak Main Daal Kar Usne Ranga Phir Tere Aanchal Ko
Bharee Barsaat K Naghme Diye Phir Teree Payal Ko
Sabhi Naz_o_ada Jab Is Main Shamil Kar Diye Hongay
Khuda Khud Sochta Hoga K Ye Tasveer Kis Ki Hay
Haya Usne Tujhay Wo Dee K Hoorain Bhi Hon Sharminda
Wo Tujhko Sharam Bakhshi Jo Rahay Mehshar Talak Zinda
Sajaya Noor Apna Usne Tere Roo_e_roshan Main
Ada Karne Aayn Namaz Farishtay Tere Daman Main
Jab Usnain Rehmaton K Say Tujhpar Kar Liye Hongay
Khuda Khud Sochta Hoga K Ye Tasveer Kis Ki Hay
Tere Maathay Ka Jhoomar Sham Ka Pehla Sitara Hay
Teree Palkon K Say Main Samandar Ka Kinara Hay
Teree Ye Zulf Hay Dhanki Hui Koi Ghata Jaysay
Tera Ye Jism Hay Pakiza Subhon Ki Ziya Jaysay
Asar Tasveer K Jab Apne Hi Dil Par Liye Hongay
Khuda Khud Sochta Hoga K Ye Tasveer Kis Ki Hay