Jitni Mohabbat Mujhe Hai Tumse
Gar Utna Tumhe Koi Chahe Toh Main Kahu
Jo Bebasi Mujh Main Tere Dur Jaane Se Hai
Gar Wahi Tadap Tujh Main Nazar Aaye Toh Main Kahu

Badi Mushqil Se Maine Tumhe Kiya Hai Apni Lakeero Main Shamil
Gar Esi Tarha Tu Mujhe Rab Se Maang Laye Toh Main Kahu
Kabhi Sakhti Kabhi Narmi Kabhi Dillagi To Kabhi Zillat Bhi Sahi Hai Teri
Gar Tu Bhi Mujhe Har Rang Main Apnaye Toh Main Kahu
Ruswayi E Duniya To Kabhi Tanakashi Apno Ki Hai Suni
Gar Tu Bhi Ye Sab Meri Khatir Seh Paye Toh Main Kahu
Jis Tarha Tere Intezar Main Rehti Hu Main Bezaar
Gar Us Tarha Tum Bhi Kabhi Jaag Toh Main Kahu
Ye Fansana Tune To Likh Diya Hai Kamsin Lekin
Gar Es Ki Gehrai Ko Koi Samaj Paye Toh Main Kahu