Jhhaankta Hai Teri Aankhon Se Zamaane Ka Khala
Tere Haunton Pe Musallat Hai Barhi Der Ki Peyas
Tere Seene Men Raha Shor-E-Bahaaran Ka Kharosh
Ab To Saanson Men Na Garmi Hai Na Awaaz Na Baas
Tu Ne Ik Umar Se Baazoo Bhi Nahin Phailaaye
Phir Bhi Baaahon Men Hai Sadiyon Ki Thhakan Ka Ahsaas
Tere Chahre Pe Sukoon Khail Raha Hai Lekin
Tere Seene Men To Toofaan Garajte Haun Ge
Bazm-E-Kaunain Teri Aankh Men Wiiraan Sahi
Tere Khawaabon Ke Mehalaat To Sajte Haun Ge
Garcha Ab Koi Nahin Koi Nahin Aaye Ga
Phir Bhi Aahat Pe Tere Kaan To Bajte Haun Ge
Waqt Hai Naag Tere Jism Ko Dasta Ho Ga
Daikh Kar Tujh Ko Hawaayen Bhi Bhaparaati Haun Gi
Sab Tere Saaye Ko Aasaib Samajhte Hain Ge
Tujh Se Ham Jauliyaan Katra Ky Guzarti Haun Gi
Tu Jo Tanhaayi Ke Ahsaas Se Roti Ho Gi
Kitni Yaaden Tere Ashkon Se Ubharti Hon Gi
Zindagi Har Naye Andaaz Ko Apnaati Hai
Yah Faraib Apne Liye Jaal Naye Bunta Hai
Raqs Karti Hai Tere Haunton Pe Halki Si Hansi
Aur Jo Ko Koi Rooyi Ki Tarah Dhhunta Hai
Laakh Pardon Men Chupa Shor-E-Aziyat Lekin
Dil Tere Dharhakne Ki Sada Sunta Hai
Tera Gham Jaagta Hai Dil Ke Nehaan Khaanon Men
Teri Awaaz Se Seene Men Fughaan Paida Hai
Teri Aankhon Ki Udaaso Mujhe Karti Hai Udaas
Teri Tanhaayi Ke Ahsaas Se Dil Tanha Hai
Jaagti Tu Hai To Thhak Jaati Hai Aankhen Meri
Zakham Jalte Hai Tere Dard Mujhe Hota Hai