Jahan Ko Chod Aapko Apna Banaya Hai
Duniya Se Door Ik Aashiyan Sajaya Hai.
Yaaron Ki Muskurahaten Bhi Zehreeli Ho Gai Hain Ab
Mehfilon Mein Jabse Aapko Hamare Pehloo Mein Paya Hai.
Toofanon Ka Khauf Ab Raha Nahin Hai Humko
Kashti Apni Ka Jabse Aapko Nakhuda Banaya Hai.
Pal Wahi Hain Bas Apne Jo Beete Aapke Sang
Zindagi Ke Hisab Mein Baki To Sab Gawaya Hai.
Zindagi Ke Safar Se Mohabbat Ho Gai Hai Yaara
KadamShers.In -º Create New Post Kadam Par Aapko Jabse Humkadam Paya Hai.
Safar Mein Sabne Saath Chod Diya Hai To Kya
Humne Aaj Jaana Ik Caravan Apna Banaya Hai.
Duniya Se Door Humne Ik Aashiyan Sajaya Hai
Jahan Ko Chod Aapko Apna Banaya Hai