In Aankhon Ka Kya Kasur
Agar Inhe Sirf Tumhara Hi
Chehra Har Jagah Nazar Aata Hai
In Baahon Ka Kya Kasur
Agar Inhe Ab Bhi Tujhe Seene
Se Lagane Ka Inteezar Rehta Hai
In Saanson Ka Kya Kasur
Agar In Mein Ab Bhi Tere Hi
Badan Ki Khushbu Basi Hai
In Dhadkano Ka Kya Kasur
Agar In Mein Ab Bhi Tera Hi
Naam Gunj Raha Hai
In Yaadon Ka Kya Kasur
Agar In Mein Sirf Tere Sang
Bitaye Lamho Ka Karvan Hai
Kasur To Mera Hi Hai
In Aankhon Ko Jo Khwab Dikhaye Meine
In Bahon Ko Ehsaas Dilay Meine
In Saanson Ko Mehak Se Milaya Meine
In Dhadkano Mein Basaya Meine
In Yaadon Ko Sanjoya Meine
Sazaa To Milni Hi Chahiye
Magar Sazaa Kya Dun Khud Ko
Aankhon Ko Band Kar Lun To
Bahoon Ko Kaat Dun To
Saansoon Ko Rok Lun To
Dhadkano Ko Rok Dun To
Yaadon Ko Bhula Dun To
Magar Yeh Nahi Ho Sakta
Aankhon Ko Baahon Ko Saanson Ko
Dhadkano Ko Yaadon Ko
Rahega Humesha Tera Hi Inteezar
Kyonki Pyaar Kiya Hai Tujhse Meine
Karta Rahunga Aaj Kal Parso Humesha
Rab Se Meri Ek Hi Dua Tere Saare Gum Mere
Meri Saari Khushi Teri Tum Khush Raho Sada Kyonki