Humse Khayaloon Main Hee Koi Pyaar Kare
Par Shart Yeh Hai Ki Binaa Shart Ke Kare
Sansoon Ke Saath Chale Woh Khusboo Bankar
Hazaroon Sitam Beshak Kare
Par Shart Hai Ki Bharoosa Hampar Kare
Hamse Mange Naa ,Woh Hukm Humko Kare
Jaan Se Mehngi Cheez Ham Kya De Sakte Hain,
Itna To Woh Nadan Kam Se Kam Samjha Kare
Mana Waqt Hamare Darmiyan Duriyaan Aaj Laaya Hai
Kaash!Woh Samajh Sakta Milane Wale Ne Hame Aazmaya Hai
Woh Kya Hamara Saath Nibhayega
Jo Har Kagaz Ke Phool Main Khusbu Talasha Kare
Aur
Kabhi Kabhi Hame Uski Taqdeer Pe Taras Aata Hai
Nakli Phool Ki Khushbu Woh Har Pal Odhna Chahta Hai
Uska Kasoor Mane Ya Zamane Ka,
Duniya Hi Use Palkon Par Bitha Ke Rakhti Hai,
Woh Kabhi Yeh Nahin Sochta,
Hum Hi Zameen Par Usko Thamne Ko Kehten Hain,
Kisi Pal Yeh Zindagi Gar Na Rahi,
Toh Woh Hamare Bina Kabhi Gira Na Kare
Haan Aik Baat Hum Usko Kehte Hain,
Pyar Hamse Zyada Jis Din Koi Tumhe Karne Ki Gustakhi Kare,
Lazmi Hai Ki Phir,
Mohabbat Ke Daave Teri Galiyon Se Nikalta
“Sanam” Ka Janaza Hi Kare