Gham-E-Zindagi Ki Shama Bujhayga Koi
Ehsas-E Mohabbat Ko Dil Me Jagayega Koi
Aankhen Band Karoge To Yaad Aayega Koi
Bazm-E-Raat Ke Sitaron Me Saja Kar
Chandni Ke Chalakte Paimano Me Mila Kar
Jo Rakhta Hai Tuhe Dil Me Chhupa Kar
Rafta-Rafta Saanso Me Bas Jayega Koi
Aankhen Band Karoge To Yaad Aayga Koi
Har Soo Khayalon Me Tumhe Sochta Hoga
Har Hansi Nazare Se Tumhe Puchhta Hoga
Ulfat Ki Nigahon Se Tumhe Dekhta Hoga
Jo Gungunao Wo Naghma Ban Jayega Koi
Aankhe Band Karoge To Yaad Aayga Koi
Adab Se Chalti Hui Hawaon Ki Tarha
Gulshan Se Lipti Fizaon Ki Tarha
Jo Rakhta Hai Labon Par Tumhe Duaon Ki Tarha
Ishq Ka Surur Banke Chha Jayega Koi
Aankhen Band Karoge To Yaad Aayga Koi