Door Se Hi Na Yoon Muskaraou Sakhee
Main Akela Hoon Nuzdeeq Aao Sakhee
Neem Surmaa Ruwaan Hai Samaan Khushnumaan
Gurmjoshee Kabhi To Dikhaaou Sakhee
Main Bulata Raha Hoon Tumhain Umar Bhar
Ho Garaz Woh Ki Tum Khud Bulao Sakhee
Main May-E-Een Pee Nashshaa Aameyz Hoon
Barhaa Surkhushee Mein Nahaaou Sakhee
Kash Aisaa Hawaa Mein Nihaan Kuchh Ho Tum
Aakey Pahloo Mein Khud Baith Jaaou Sakhee
Gaa Ruhaa Hai Zamaana Sunoun Turz-E-Dil
Aaj To Nagmaa-E-Zeest Gaaou Sakhee
Kuh Chukaa Hoon Puraaney Fasaaney Bahut
Is Naye Dour Key Tum Sunaaou Sakhee
Pairhun Mein Zameen Ney Sajaaye Hain Gul
Geysuoun Ko Guloun Sey Sajaaou Sakhee
Khum Hain Lubreyz May Sey Putaa Hai Mujhe
Jaam Khaalee Hai Fir Kyon? Bataaou Sakhee
Buhr-E-Hizraan Mein Toofaan-E-Gum Hai Chupa
Doob Jaanungaa Aakar Bachaou Sakhee
Shfq-E-Aalum Sey Beytaab Hoon Deed Ko
Pudaa-E-Abra Rukh Se Hataaou Sakhee
Muntazir Hai ‘Abd’ Dozkh-E-Hizra Ko
Subzwakhtee Se Junnat Banaaou Sakhee