Dheere Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Us Ka Chehra Nazar Ata Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Us Ko Dekhaa To Jism O Jaan Ko Yun Lagaa
Pyaasi Zameen Pe Jese Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah
Roz Kehti Hai Seeney Pe Sir Rakh Ke Raat Bhar Sula’oun Gi
Sar-E-Shaam Hi Mujhey Aaj Phir Sula Gayi Wo Kal Ki Tarah
Us Ka Sharmaana Bhi Mujhey Maat De Jaataa Hai
Us Ki To Har Adaa Hai Kisi Khamosh Qatil Ki Tarah
Merey Hi Dil Ka Makeen Nikla Wo Shakhs Aur Mein
Shehar Bhar Mein Dhoodnta Raha Usey Kisi Pagal Ki Tarah
Madhosh Sa Ho Jata Hun Jab Barish Ki Boondein
Chherti Hain Koi Naghma Us Ki Chhanakti Payal Ki Tarah
Mera Sukhan Us Ki Zaat Ka Mehwar Na Ho Tab Bhi
Wo Naazneen Wo Dil Nasheen Hoga Mehakti Ghazal Ki Tarah
Nahee Tha Khaarzaron Pe Tanha Be Sabab Safar “Humtum”
Yaqeen Tha Mil Jaye Ga Raah Mein Wo Manzil Ki Tarah