Dekhein Mere Chaahat Ko Wo Ab Kya Inaam Dete Hain
Mohobbat Samajhte Hain Ya Jamaane Ki Tarah
Wo Bhi Ise Koi Ilzaam Dete Hain
Haan Ye Sach Hai Ke Uske Aakarshan Se
Apne Jameen O Aasmaan Jhuk Jaate Hain
Ye Nigaahein Kuchh Or Dekh Nahi Paati Or
Kadam Khud-B-Khud Ruk Jaate Hain
Uske Kangan Uski Paayal Ye Sab Hame Bhate Hain
Wo Ghani Zulfein Wo Lehraata Aanchal
Mere Khaatir Hi Nazar Aate Hain
Wo Madhosh Nigaahein
Jaane Kya-Kya Keh Deti Hain
Or Wo Hoth Bhi To Bin Kahe
Muskuraakar Hi Reh Jaate Hain
Uska Chalna Uska Rukna
Uska Mudna Uska Jhukna Ufff
Wo Paas Nahi Rehti Par Ye Nazaare
Nigaahon Me Keid Reh Jaate Hain
Gunehgaaron Sa Chaahte Hain Usko
Or Usi Se Chupaate Hain
Is Jamaane Se Kon Darta Hai Ham To
Uski Maasoom Soch Se Dar Jaate Hain