Dekh Kar Unhe Kyu Ye Nikhaar Aata Hai,
Unke Har Sitam Par Hume Pyaar Aata Hai.
Chaman Veeraan Lage Gar Wo Saath Nahi,
Unka Saaya Bhi Lekar Bahaar Aata Hai.
Ye Kaisi Kasak Hui Hue Jo Unse Rubaru,
Lab Pe Inkaar, Nazar Me Ikraar Aata Hai.
Palkein Jhhukti Hain Sharm O Haya Se Jab,
Unki Nazar Me Nazar Khumaar Aata Hai.
Larazte Honthon Ko Dekar Naam Gulon Ka,
Humpar Ghuroor Beshumaar Aata Hai.
Kya Shay Banaayi Mohabbat Tune Aye Khuda!
Furqat Me Chayn Na Qurbat Me Qaraar Aata Hai