Chhatrii Lagaa Ke Ghar Se Nikalne Lage Hain Ham
Ab Kitnii Ehtiyaat Se Chalne Lage Hain Ham
Is Darje Hoshiyaar To Pahle Kabhii Na The
Ab Kyuun Qadam Qadam Pe Sambhalne Lage Hain Ham

Ho Jaate Hain Udaas Ke Jab Do-Pahar Ke Baad
Suuraj Pukaartaa Hai Ke Dhalne Lage Hain Ham
Aisaa Nahiin Ke Barf Kii Maanand Hon Magar
Lagtaa Hai Yuun Ke Jaise Pighalne Lage Hain Ham
Aaiinaa Dekhne Kii Zaruurat Na Thii Ko-‘ii
Khud Jaante The Ham Ke Badalne Lage Hain Ham
Is Kaa Yaqiin Aaj Bhalaa Kis Ko Aayegaa
Ek Dhiimii Dhiimii Aanch Men Jalne Lage Hain Ham