Charon Taraf Khadi Kashamkash Ki Diwaar Hai,
Khushian Tamaam Humari, Jiske Uss Paar Hai
Teri Nazar Ko Aaj Bhi Dhoondhti Hai Meri Nazar,
Raakh Ke Dher Mein Chuppa, Koi Sharaar1 Hai
Tum Aaye Thhe Ya, Hua Hai Ye Chalaava2 Saa Koi,
Khidkiyon Se Dikhaayi Deta, Kaisa Gubaar Hai
Suni Suni Si Dhun Kahin, Dabi Dabi Si Koi Aahat,
Pehchaani Si Awaazon Ka, Laga Hua Bazaar Hai
Har Lamha Doob Raha Hai Ek Khaalipan Ke Saath,
Yeh Kiske Intezaar Mein, Dil Itna Bekaraar Hai
Zindagi Ka Safar Yeh Ab Kitna Taaviil3 Ho Chala,
Lafz Dhundhlaane Lage Aur Fikar4 Ki Bharmaar Hai
1. Sharaar = Chingaari‚  (Spark)
2. Chalaava = Nazar Ka Dhokha (Illusion)
3. Taaviil = Lamba Aur Thakaan Bhara‚  (Long And Tiring)
4. Fikar = Pareshaani (Botheration)