Chahe Jiseko Tu Jaan Se Bhi Jyada;
Jara Soch Wo Tera Hai Bhi Ya Na .
Jo Banhein Gale Main
Padti Hai Banke Haar Wafa Ka;
Jara Dekh Wo Tera Hai Bhi Ya Na.
Wo Batein Meethi – Meethi
Si Jo Lagti Hain Tujhko Pyari;
Thoda Sa Shehad Mohabbat
Un Baton Main Hai Bhi Ya Na.
Jo Cheej Tujhe Lagti Hai Wafa
Ho Sakta Hai Bewafai Ho;
Jo Sachha Pyar Jatati Hai;
Ho Sakta Hai Hathon Ki Safai Ho.
Tu Hua Diwana Jiske Liye
Wo Dekh Diwani Hai Bhi Ya Na.
Hai Aur Tujhe Na Kuchh Ataa,
Rat-Ta Hai Usi Ki Baton Ko;
Bachain Rahe Tu Sare Din,
Sota Bhi Nahi Hai Raton Ko.
Jara Soch Wo Teri Yadon Main
Raton Ko Jage Hai Ya Na .
Hai Kitna Pyar Tujhe Usse,
Tujhse Behtar Koi Na Jane;
Aankhon Mein Wasa Jiska Chehra,
Ho Sakta Hai Wahi Na Pehchane ;
Rag – Rag Main Basaya Hai Jisko
Tu Uske Dil Main Hai Bhi Ya Na .
Tu Dekh Use Jo Hansta Hai Wo
Tere Bholepan Per Hansti Hai;
Tu Kahe Ager Jo Thoda Sa Use
Kehne Mein Bhi Jhijhakti Hai;
Per Dekh Gaur Se Soorat Ko;
Kya Ye Sab Such Hai Bhi Ya Na.
Tabhi To Insan Ko Taqdeer Pe Shuq Hota Hai;
Her Wo Cheej Bhi Nahi Milti Jispe Haq Hota Hai.
Kaise Lage Pata Aakhir Wo Tere Liye Hai Bhi Ya Na.