Agar Tum Naa Mili To Main Din Kaa Her Pal Tumhaari Yaad Main Guzar Doon Ga
Kyonkeh Un Yaadon Kay Siwa Meray Pass Kuch Hoga Hii Nahin
Meri Soch Ka Mehwar Tumhaari Hi Zaat Hogi
Kyonkeh Meray Pass Kuch Aur Sochnay Ko Hoga Hi Nahin
Her Raat Main Chand Say Batain Kiya Karon Ga
Tumhaari Batain Main Chaand Ko Bataon Ga Keh Hum Kaisay Milay
Kaisay Hum Aik Dosray Ko Bay Inteha Chahnay Lagay
Aur Phir Kaisay Hum Juda Howay
Main Chaand Say Pochoon Ga
Kia Tum Bhi Mujhay Aisay Hii Yaad Kerti Ho?
Aisay Hii Din Raat Meri Yaad Main Bitati Ho?
Chand Kahay Ga Nahin
Tum To Apni Choti Si Dunya Main Magan Ho
Tumhain To Mera Khayal Hi Nahin Aata
Tanhaayi To Bus Sirif Meray Liye Hay
Meray Hi Naseeb Main Likha Hay
Umar Bhar Ka Rona Tum To Buhut Khush Ho
Agar Tum Na Mili To Main Aksar Samundar Kay Kinaray Betha Karon Ga
Haan Wohi Sumandar Jo Tumhain Buhut Acha Lagta Hay
Aur Mujhay Bhi Aur Ghanton Samundar Ko Dekha Karon Ga
Lehron Ka Aana Aur Jaana
Bachon Ka Rait Kay Gharonday Banana
Aur Un Gharondon Ka Lehron Main Beh Jana
Bus Aisay Hi Din Ko Shaam Karoon Ga
Phir Jub Raat Ko Samundar Weeran Hoga
To Us Ki Weerani Meri Weerani Kay Agay
Kuch Nahin Hogi Kyonkeh Samundar Ki Weerani Main To Aik Duniya Basi Hay
Aur Meri Weerani Meri Weerani Main To Kuch Nahin
Kuch Bhi Nahin Sirif Tum Aur Tumhaaari Batain
Tumhaari Yadain Tumhaari Ankhain Tumhaari Sansain
Aur Kuch Nahin Samundar Say Main Poochon Ga
Kia Tum Bhi Ander Say Itni Weeran Ho
Samundar Kahay Ga Nahin
Tum To Aksar Yahan Aati Ho
Aur Woh Tumhain Hansta Muskarata Dekhta Hay
Jaisay Main Kabhi Tumhari Zindagi Main Aaya Hi Nahin
Tumhain To Weerani Chu Ker Bhi Nahin Guzri
Weeran Rehna To Mera Muqaddar Hay Agar Tum Na Mili
To Main Apnay Ghar Ko Pholon Say Saja Doon Ga
Wohi Phool Jo Tumhain Pasand Hain
Wo Phool Mujhay Tumhaaray Honay Ka Ehsaas Dilayain Gay
Main Samjhoon Ga Keh Tum Yaheen Ho
Abhi Achanak Say Aao Gi
Aur Mujhay Chonkao Gi Aur Jab Main Khafa Honga
To Piyar Say Meri Baanhon Main Aa Jao Gi
Magar Yeh Banhain To Khali Hain
Aur Khali Hi Rahain Gi
In Main Tumhaaray Honay Ka Ehsaas To Rahay Ga
Magar Kabhi Tum Nahin Hogi
Aur Main In Khali Baahon Kay Saath
Aahain Bherta Rahon Ga
Keh Zindagi Main Aahon Kay Siwa Ab Kuch Bhi Nahin
Tum Jo Nahin To Kuch Bhi Nahin