Ab Apne Faisle Par Khud Kyun Ulajhne Lagi Hoon
Zara Se Baat Par Itna Bikharne Kyun Lagi Hoon
Wo Jis Mausm Ki Abb Tak Muntazer Aankhein Thi Meri
Iss Mausam Se Itna Darne Kyun Lagi Hoon
Mujhe Nadeeda Raaston Par Safar Ka Shounk Bhi Tha
Thakaan Paa’on Se Lipti Hai Tu Marne Kyun Lagi Hoon
Mujhe Ye Chaar Diwaari Ki Raunak Maar De Gayi
Main Ik Makaan Thi Manzal Ka, Mitne Kyun Lagi Hoon
Main Jis Ko Kam Se Kam Mehsoos Karna Chahti Thi
Uski Baat Ko Itna Samajhne Kyun Lagi Hoon
Jo Mere Dil Ki Galiyon Se Kabhi Guzra Nahi Tha
Ab Apne Haath Se Khat Issko Kyun Likhne Lagi Hoon
Badan Ki Raakh Tak Bhi Raaston Mein Na Bachegi
Barasti Baarishon Mein Yoon Sulaghne Kyun Lagi Hoon
Wo Suraj Hai Dukh Ka Phir Ye Aisa Kya Hua Hai
Main Phatthar Thi To Aakhir Ab Pighalne Kyun Lagi Hoon