Aata Hu Chala Jata Hu Phir Aata Hu Chala Jata Hu
Rehta Hu Aas Pass Unki Gali Ke Apne Ghar Nahi Jata Hu
Koi Q Kare Aitraz Mere Is Aane Jane Ka Unki Gali
Apna Dil Apni Marzi Kya Kisi Ke Baap Ka Khata Hu
Aur Kabhi Na Kabhi To Hogi Unki Tavajjo Meri Taraf
Jo Uski Phuppo Bhi Aa Jaye Khidki Me Main Ehtiyatan Muskarata Hu
Bada Sabr Hain Mujme Na Jane Logh Q Kehte Besabra Mujko
Jo Nikla Nakab Me Us Ghar Se Koi Use Manzil Tak Chod Aata Hu
Bas Ek Baar Dekha Tha Unse Koi Jan Pehchan Nahi Meri
Shaheen Manzil Me Hain Ghar Unka Unhe Shaheen Kehke Bulata Hu
Par Ek Roz Kisi Ne Poocha Humse Pata Tumhare Thikane Ka
Bade Bechain Hue Hum Aur Poocha Sabab Tere Ghar Jane Ka
Aage Na Poochiye Dil Me Aasuo Ko Samundar Tha
Woh Kambakht Aur Koi Nahi Us Nazneen Ka Shauher Tha
Itne Me Shayed Kudrat Ko Humpe Dobara Taras Aaya
Kahi Se Koi Haseen Chehra Hame Phir Nazar Aaya
Ho Liye Hum Sang Uski Rah Aur Pohach Gaye Uski Gali
Chalo Phir Koshish Kare Mili Mili Nahi Mili Nahi Mili