hoton pe muhabbat ke fasaaney nahi aatey

saahil pe

samundar ke khazaaney nahi aatey

palkein bhi chamak

uthti hain sotey mein hamari

aankhon ko abhi khvaab

chhupaane nahi aatey

dil ujdi huyi ek saraaye ki tarah

hai

ab log yahaan raat jagaaney nahi aatey

udney do parindon ko abhi shokh havaa mein

phir laut

ke bachapan ke zamaane nahi aatey

iss shehar ke baadal

teri zulfon ki tarah hain

ye aag lagaatey hain bujhaaney

nahi aatey

ahbaab bhi ghairon ki adaa seekh gaye hain

aatey hain magar dil ko dukhaane nahi aatey