Na zameen pe koi hai,
aur na iis aasmaan pe koi hai,
jo ye bataaye ke,
jab dil mein koi hasrat roti hai,
to us waqt koi kya kare ……
hai koi jo ye bataaye ke khudaara jindagi mein kya baaki hai jo baad-e-fanaa saath jayegaa…….
yakinee tor pe kuch bhi mumkin hai iis qaynaat mein magar kuch aisa bhi hai jo saamne hai lekin nazar nahi aata ke dar-haqeeqat ya ilahi ye majraa kya hai jo be-parda bhi hai aur parde mein bhi…..
agar main ye samjhun ke ye uski qaaynaat mein usii ka banaaya gorakh-dhandhaa hai…
to shayed ye baat mukhtalif na ho……
noor