Wo boli dil ko koi beyaqeeni hai

Wo Boli, Dil Ko Koi Beyaqeeni Hai Muhabbat Me
Mai Bola, Thik Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Wo Boli, Arzoain Dil Ke Andar Bain Karti Hai
Mai Bola, Thik Hai Mujh Ko Sunayi Dete Rahete Hain
Wo Boli, Hum To Jaise Ek Musalsil Dukh Ke Qaidi Hain
Mai Bola, Thik Hai Ye Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hain
Wo Boli, Koi Shab To Khab Me Bhi Khab Aate Hain
Mai Bola, Thik Hai Kuch Hasraten Aise Bhi Kartin Hain
Wo Boli, Bareshon Me Aur Ziyadh Jaan Silagti Hai
Mai Bola, Thik Hai Ye Aag Pani Ke Masael Hain
Wo Boli,Raat Kion Mushkil Se Katti Hai Judai Me
Mai Bola, Waqt To Kaifiyaton Ka Naam Hota Hai
Wo Boli, Chahaton Me Dard Ke Rahene Ki Qahish Kion
Mai Bola, Dard Ke Mare Howoon Ko Chain Mil Ta Hai
Wo Boli, Ruh Ki Aasoodgi Ko Kiya Zaroori Hai
Mai Bola Ruh Ko Aaloodgi Achchi Nahi Lagti Hai
Wo Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kiya Kahani Hai
Mai Bola, Aadam O Hawwa Ki Chahat Ki Nishani Hai…
Poet : Fahat Abbas Shah
Take Care
Presented By
Asrar Ahmed Danish

Aap ki yaad aatii rahii raat bhar

Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar
*«´¨`·.¸¸.*¤* IMRAN m3m0n *¤*.¸¸.·´¨`»*

Dil lagi ki kisi ko aisi sazaa

Dil Lagi Ki Kisi Ko Aisi Sazaa Naa Mile
Pyaar Ke Bina Jeena Zindagi Aisi
Kisi Ko Aisi Mout Naa Mile
Kamm Se Kamm Sambhalne Keliye
Dostoun Ka Sahara Toh Mile
Zindagi Me Sab Ke Din Hain Chaar
Ussme Kisi Ko Bhi Itne Gham Naa Mile
Mohabbat Hoti Nahi Sabse Zindagi Me
Jis Se Bhi Ho mohabbat Ho Dil Se
Bass Dil Ko Uss Se Bewafai Naa Mile
Hum Toh Jee Lenge Kaise Bhi Unke Bina
Bass Humari Wajhe Se Unki Aankhoun
Ko kabhi Aansoo Naa Mile Ye Dua Hai Meri

Thanks & Best Regards
Rubina Yasmeen

Mai ne chand aur sitaron ki tamanna

Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Mujh ko raton ki siyahi ke siwa kuch na mila
Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zaqam paye hain baharon ki tamanna kit hi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se mine bahanon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Poet :saher loudhiyanwi
Selected by : Asrar ahmed danish

Ae rab tujhse ab aur kuch nahi

ae rab tujhse ab aur kuch nahi mangti hun main
maut ka bas vo din chahti hun main
thak chuki hun is zindagi se
ab bas aaram karna chahti hun
nahi chahti hun aisi zindagi jis mein bas
khushi hawa ke jhonke ki tarah ek pal guzar jaata hai
nahi chahati hun aisi zindagi jis mein
gamek aisa mausam ban ke aata hai jo kabhi jaata nahi
nahi chahti hun aisi zindagi jis mein
apne apne nahi,
na koi khushi hai,
na hi kisi ki khushi mein shaamil hone ki bhi aas ho
bas har baat pe apno ki berukhi hai
thak chuki hun is tez raftar zindagi se
ab bas aaram karna chahti hun
bas maut ka vo din mangti hun

Jo kuch hai aasman me baher wo

Jo Kuch Hai Aasman Me
Jo Baher Wo Barr Me Hai
Yeh ” Aapka ” Wajood Hai
Jis Ke Tufail Yahan
Khushboo Gulaab Me Hai
Tajjalli Qamar Me Hai
Kafoor Hui Zulmat
Shabb Phail Gaya Noor
Roshan Ye Kis Ka Naam
Azaan-e-Saher Me Hai
Mein Hoon Mareez-e-Ishq Nabi
WOH Mere Tabeeb…… .
Lazzat Si Ek Nahaa
Mere Zakhm-e-Jigar Me Hai
Aayi Hoon Darr Pe …
Yeh Kehti Hoon AAP se
Laayi Hoon Woh Gowhar
Jo Meri Chashm Tarr Me Hai……
{ Yaa Allah Humari Saari Jayez
Duaoun Ko Qabool Farmaa }

Dil ki aawaaz aaj ye dil keheta

Dil Ki Aawaaz
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
guzarti nahin hai, meri koi bhi pal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
woh manzil yahaan nahin milegi
jise tujhe talash hai
woh manzar yahaan nahin dikhega
jo tere dil ke aas paas hai
milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
waise log yahaan nahin hai
jinko dhund raha hai tu
yahaan log waise nahin hai
jinse jud raha hai tu
na banegi yahaan mere sapno ka mahal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
Nigaah

Hum beech manzil mai thay kharay asqaam

hum beech manzil mai thay kharay
asqaam ke chadar oray hoay
ankhon mai ayaare kay thay dailay
har lab peh drogh ke the chashnee
zubaan afwahon say na ho aajiz
gardaan hamara hai tha mehdood
jab thaan le hum nay sachae ke
tab nafs nay baghawat kar daale
har fard nay kia alwida
aur chor gay waqt kay saharay per
tab waqt nay hum ko na jana
aur chor gaya dorahay per
mojon mai sukoon he sukoon, baki
aur shor hai ashkon ke lehroon mai
ab shikwa karain tu kis say karain
koi pursan-e-haal he nahi apna

Suna hai chand taroon main jinhien dhondo

Suna hai
Chand taroon main
jinhien dhondo
Wo ik din mill bhi jatay hain
Suna hai
Bheegti barish ki raatoon main
Jinhien socho
Wo ik din pass aatay hain
Suna hai
Samander per kharay ho ker
Jinhien tasawar main dekho
Wo ik din unkahi baatoon ko
Khud hi sun bhi laitay hain
Mager jana
Sunnay aur sunannay ki
Sabhi baatien poori nahien hotien
Muqader to nahien hota
Naseeba to nahi hota
To tum bhi
Bhula do to hi acha hai.
Regards,
Malik Jamshaid Mannan

Hello frnds how r u aapke mail

Hello frnds,
How r u?
Aapke mail nahi aate aaj kal.
Kya baat hai?
Sun le jara sun le jara, dil ki mere kya kahe dhadkane
Jabse mohabbat tumse hui, badhne lagi hain meri uljhane
Raato ko baichain hua karte hain aksar
Khud se hi baate kiya karte hain aksar
Ek pal ka bhi ab to hash nahi hai
Khwaabo mein tera dedaar kiya karte hai aksar
Sun le jara sun le jara dil ki mere kya kahe dhadkane
Chalte hain to apne kadam dagmagate hain
Aksar tanhaiyon mein hum ghabrate hain
Jahan ki khabar na khudh ka pata hai
Ab to bekhabar hi hum hue jaate hain
Sun le jara sun le jara dil ki mere kya kahe dhadkane
Khoye rahte hain, ho chahe aalam khushi ka
Kuch aisa haal hua hai, ab meri jindgi ka
Pal pal chehra tera hi nazar aata hai
Sajaye baithe hai khwaab teri ashiqi ka
Sun le jara sun le jara dil ki mere kya kahe dhadkane
With warm regards
Sandeep

Hum ne aaj kuch sach likhne ki

Hum ne aaj kuch sach likhne ki himmat ki hai
Koi jadoo nahi! hum ne tum se dosti ki hai
Woh ek lamha bhi jo teri yaad ke bina guzra
Us pal mein hum ne khud se bhi nafrat ki hai
Har shakhs milta hai aaker hume khuloos se
Baat meri soorat ki nahi! baat to seerat ki hai
Tum se pahle koi bhi na aa saka wahaan
Dost jis dil pe aaj tum ne hukumat ki hai
Ye mere dil ka dard kam kyun nahi hota
Aie dil hum ne kya dukhon se ulfat ki hai
Sazaa milegi tum ko bhi iss faisle ke baad
Mere zameer ne sach bolne ki jurrat ki hai
Kya karoon ! woh to dosti ka matlab bhi nahi janta
Dil-e-Nadan hum ne kis shakhs se dosti ki hai

Zindagi ke har lamhe ko jeelo jee

Zindagi Ke Har Lamhe Ko Jeelo Jee Bhar Ke
Kya Pata Kal ko Ho Kisne Jaana……
Hum Hain Aaj Yahan Par
Kal Ho Na Ho Kisne Jaana…….
Tera Milna Aaj Khushi Hai
Kal Dukh Bann Jaye Kisne Jaana……
Tera Jaana Humari Badnaseebi Hai
Kisi Aur Ki Khushnaseebi Ho kisne Jaana……
Har Chehre Ko Dekhlo Jee Bharke
Kal Mile Naa Mile Kisne Jaana……
Karo Har Rishte Ki Qadar
Kal Ho Naa Ho Kisne Jaana…….
Pyar Baant Sako Toh Baantlo
Kal Tum Ho Naa Ho Kisne Jaana……
-Rubina Yasmeen

Mujhe kisi se koi gila hi nahi

Mujhe Kisi Se Koi Gila Hi Nahi
Woh Mera Tha Hi Nahi
Jo Mujhe Mila Hi nahi
Darte The Kaise Jeeyenge Uss Se Bichad Ke
Par Ab Toh Yaadoun Ka Silsila Bhi Nahi
Mujhe Tujh Se Koi Shikayat Nahi
Jo Samajh Sake Mujh Ko Woh Tu Nahi
Shayed Aisa Kabhi Koi Mila Hi Nahi
Phir Bhi Iss Zamane Se
Akele Ladne Ka Hounsla Baqi Hai mujh Me
Tumhare Baad Kitne Toofan Aaye
Mein Kabhi Hili Hi Nahi ….

Mere pyare dostoan abhi kuch mahine pehle

Mere pyare dostoan,
abhi kuch mahine pehle he maine yeh group join kiya hai, bahut accha lagta hai
aap sab ke sher padh kar……
Aaj mein tumhe apne college ke dinoan ka ek waqaya batata hoan, mein aur mere
dostoan nai mil kar ek mushayare ka programme banaya. Jab hum logoan nai hum
mein se ek dost ke ghar per apna programme shuru kiya toa, oos ke pitaji nai
hume apne ghar se ootha kar bahar phenk diya, tab hum door ek jungle mein soch
rahe they ki ab kya karein, tab suno ek nai mujh se kya kaha…..
” quadar nahi shayaroan ki mere ghar mein,
chalo karein mushayara tere ghar mein”
Yeh soun kar maine bhi eis ka jawaab shayarana andaaz mein kuch eis tarha
diya…….
” Pitayi hoa gayi humari tere baap se,
ab kya kasar reh gayi pitne ki mere baap se” (aaiye, ama yeh bhi koi baat
huyi)
bye!
Sunil Kumar

Jai shri krishan govind hare murare hum

Jai Shri Krishan Govind Hare Murare
Hum hain Tumare, Tum ho hamare
Radha ke Payre, Nand ke dulare
Banshi bajaye Yamuna kinare
Jai Shri Krishan Govind Hare Murare
Hum hain Tumare, Tum ho hamare
Rajbhog chhod Shaak Vidur ghar khaye
Makhan Mishri prabhu ko khoob bhaye
Teen lok ke hokar swami, Rath arujn ka chalaye
Jai Shri Krishan Govind Hare Murare
Hum hain Tumare, Tum ho hamare
Meri ankho ke tum ho tare
Iss jivan ke aap hee sahare
Naiya lagao do ab tho kinare
Jai Shri Krishan Govind Hare Murare
Hum hain Tumare, Tum ho hamare.

Kuch log sitam kerne ko taiyaar bethe

Kuch log sitam kerne ko
taiyaar bethe hain
kuch log mager hum pe
dil haar bethe hain
Iss kashmakash mein hum se
pehchane nahi jate,
kahaan dushman hain aur,
kahan dost yaar bethe hain
Ishq ko aag ka dariya hi
samajh lijiye hazoor,
koi uss paar betha hai tu,
hum iss paar bethe hain.
Kon kehta hai ke is shehar main,
saare hain bewafa,
hamare samne du chaar
wafadaar bethe hain.
Kal tak jin ki hasrat thi
hamien badnaam kerne ki
ajj wohi log apne kiye pe,
sharamsaar bethe hain.
Duniyaa se rooth jane ki
khwahish hai hamari,
kiya karoon is khwahish pe
pehredaar bethe hain..!!

Baat saaqii kii na taalii jaayegii kar

Baat saaqii kii na Taalii jaayegii
Kar ke taubaa tod Daali jaayegii
Gar yahii tarz-e-fugaan hai andalii
Tu bhii gulashan se nikaalii jaayegii
Kyu nahi milti gale se tegenaaz
iid kyaa ab ke bhii khaalii jaayegii

Kabhi yun jo ho kisi din agar

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sare-e-raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon
Yeh jo gardishen hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon
Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon
Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon
Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley…!

Kanto main phulonko khilte hue dekha hai

Kanto main phulonko khilte hue dekha hai,
Tufano main kashtiyonko sambhalte hue dekha hai,
Andhero ko ujalon main dhalte hue dekha hai,
Hamane waqt ke saath logo ko badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko……..
Jab jab bhi aaye kisi ki yaad,
jiske bina dil rahetatha hardam udas,
jab wo aakar mila bahot dino ke baad,
Tab aasuonko bhi kushiyonmain badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko…….
Apne haq ke liye bar bar insano ko ladate hue dekha hai,
Hamane kai acche logonko buri sangat main padate hue dekha hai,
Budhe lachar Maa Baap se jawan bete aur bahu ko,
zagadate hue dekha hai,
Banate bante kam ko kai bar bigadate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko…….
Hamane kai baar apne matalab ke liye,
khun ke rishton ko bhi tutate hue dekha hai,
Apni jeb bharne ke liye dusro ko lootate hue dekha hai,
Aur pakade jane par choro-jebkataronko marte dum tak,
pitate hue dekha hai,
Apne hi desh ke logonko dharm aur jati ke naam pe,
batate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko……..
BHARAT DESH hai hamara,
Jag main hai sab se pyara,
jab jab bhi kabhi ispar aanch aayee kisiki,
Tab tab desh ke shur-veer jawano ko,
Matrubhumi ki raksha main Amar hote hue dekha hai.
JAI HIND JAI BHARAT

Dard mein bhi yeh lab muskura jaate

(Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Beete Lamhein……….
Chand Lamhaaat Ke Waaste Hi Sahi
Muskuraakar Mili Thi Mujhe Jindagi
Teri Aaghosh Mein Din The Mere Kate
Teri Baahon Mein Thi Meri Raate Kati
Aaj Bhi Jab Woh Pal Mujhko Yaad Aate Hai
Dil Se Saare Gamon Ko Bhula Jaate Hai
(dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Beete Lamhein……….
(mere Kaandhe Pe Sir Ko Jhukaana Tera
Mere Sine Mein Khud Ko Chhupaana Tera) – 2
Aake Meri Panaahon Mein Shaamo Sehar
Kaanch Ki Tarah Woh Toot Jaana Tera
Aaj Bhi Jab Woh Manjar Nazar Aate Hai
Dil Ki Viraaniyo Ko Mita Jaate Hai
(dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Dard Mein…. Beete Lamhein

Yaadi mohabatt ki hai to duniya waloo

Yaadi Mohabatt Ki hai to
Duniya waloo ke bagawat kar dalo
Yaadi Mohabatt Ki hai to
Duniya waloo ke bagawat kar dalo
Varna yaha maa-bhaap chahe
Chup chap shaadi kar dalo
Harinder Singh

Is jahaan mein kaash yeh mohabbat na

Is jahaan mein kaash yeh mohabbat na hoti,
Shararat na hoti,Shikayat na hoti,
Naino mai kisi ke nazakat na hoti,
Na hoti bekrari,na hote hum tanha,
Agar jahan me kambhkat ye mohabbat na hoti!!!!
To safar-e-zindagi mein mithaas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza mein maut to,
Deewano ki kabrein udaas na hoti..
Meri mohabbat ne unhe khushi de di,
Badle mein mujhe khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin Khuda ne bhi Jeena ke liye zindagi de di.
-Sanam

Bus mujhe mera pyar chahiye jo

Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye

Jo bani ho Mere lye
Jis ke lye mai Jee raha hoon
Jo kahe Hum saath hain Tere
Jise dekhne k liye Tarap raha hoon
Ek aisa hi Dildaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye
Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye
Ho har Waqt rahe saath mai Mere
Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye
Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Jis ki ek Hansi k liye
Mar jane ko Dil kare
Jo kehde ek baar to
Phir Jeene ko Dil kare
Aisa hi Ek Humsafar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Ek baar mili thi Mujhe woh
Par pata nahi kaha kho gayi
Ab agar mil jaye toh
use kahi jane na doon
Wohi khoya Yaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Regards.
Mohsin Jari

Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai

Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai
tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai
log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai
jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai
nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai
banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai
tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai
tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai
Regards
Ashutosh Sharma
S.E. Indore
mail at: ashunaval@yahoo. co.in

Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon pe

Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon pe khilta hai
Andherii raat mein jaise
Achaanak chaand baadal ke kisi kone se jhaankta hai
Aur saare manzaroon mein jaise roshnii sii phail jaati hai
Aur jaise larazti auus ke qatre pehan ke muskuraati hai
To khushboo baagh ki deewaar se rooke nahin rukti
Ussi khushboo ke dhaage se mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri saansoon mein saansoon mein khilta hai
Tumhein jab dekhta hoon jab safar ki shaam se pehle
Kisi uljhi hoi gumnaam si jinta ke jaadoo mein
Kisi soche joe benaam lamhe ki khushboo mein
Kisi mausam ke daman mein kisi khvaahish ke pehlo mein
To iss khushrang manzar mein tumhaarii yaad ka rasta
Najaane kis taraf phuut-ta hai
Aur phir aise mein mere hamraah chalta hai
Ke aankhoon mein sitaaaroon ki guzar-gaahein si banti hain
Dhanak ki kehkashaaein sii
Tumhaare naam ke in khusnuma lafzoon mein dhalti hain
Ke jin ke lams se hoonthoon pe jugno raqs karte hain
Tumhaare khvaab ka rista meri niindoon se milta hai
To dil abaad hota hai
Mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri raatoon mein khilta hai

Door se dekha kisi ke sath ja

Door se dekha,
Kisi ke sath ja raha tha vo.
Awaaz aa rahi thi jaise,
Gunguna raha tha vo.
Masti me chalta aise,
Itraa raha tha vo.
Nazdeek pahunche to,
Tasweer hi badal gayi.
Na chahte huye bhee,
Aankhe machal gayi.
Akela hi tha vo us din,
Ladkhada raha tha vo.
Vo ro raha tha us din,
Ghabra raha tha vo.
Dooor se na pahchaana,
Vo kaun shakhs tha,
Kohra ghana tha us din,
Vo hamara hi aks tha.
CHANDRA KUMAR PATEL