Zindagi Kyon Roothi Hui Hai
Jabki Har Baat Maani Hui Hai,
Tammana Hai Raaton Ko Jaagun
Dinn Mein Qismat Soyi Hui Hai.
Mere Ghar Ke Bageeche Mein
Phool Koi Khilta Nahin Hai,

Har Tarah Se Maine Hai Seenchaa
Mere Aangan Mein Ruktaa Nahin Hai.
Gar Khuda Se Mulakaat Hoti
Tow Khuda Ko Zameen Pe Bulaata,
Har Jagah Usko Phir Main Dikhaata
Har Tasveer Uske Aage Sajaata.
Zinda Laashein Zamee Pe Hai Bikhri
Bhook Se Marta Bachpan Puraana.
Zameen Murda Hone Lagi Hai
Phir Bhi Bhoole Nahin Muskuraana.