Zindagee Ke Pech O Kham Se Ham Nah The Waaqif Magar,
Ham Jiye,Dil Se Jiye,Chhoree Naheen Ko’ee Kasar!
Tuu Saraapaa Khoob-Soorat Thee, Magar Ai Zindagee!
Ham Ne Hee Paayee Naheen Woh Dekhne Waalee Nazar!
Tuu Hai Saagar Noor Kaa, Aur Aatmaa Ik Boond Hai,
Rooh Ho Jaaye Mukam’mal, Tujh Men Mil Jaaye Agar!
Dair Kee Kyon Khaak Chhaane, Jab Woh Har Zar’re Mein Hai,
Kyon Nah Uske Aks Ko Dil Mein Hee Dhunde Har Bashar!
Ham Ghareebon Ke Muqad’dar Mein Bhalaa Kaisee Bahaar?
Hamne Kaaghaz Ke Gulon Pe Itra Chhirkaa Um’r Bhar!
Chain Thaa Yaa Zeest Ke Saahil Pe Lik’khaa Laf’z Thaa,
Jab Milaa Tab Leh’r E Gham Ko Ho Gayee Iskee Khabar!