Zakhm Dete Hain Or Kehte Hain Ke Aah Na Karen
Hum Unki Mohubbat Mein Zindgi Tabaah Na Karen
Wo Mere Saamne Rahe Or Main Unhe Na Dekhun
Kabhi Aisa Din Bhi Aaye Ye Khudaa Na Karen
Kiss Na Do To Phir Dil Ko Kadaa Rakhna Tum
Itne Maasum Nahi Hum Ke Iltizaa Na Karen
(Kadaa-–tight,Firm)
Hum Unhe Ek Baar Dekhen
Or Bas Dekhte Rahen Hum‚  (Simt-–Towards)
Unko Ye Zidd Ki Unki Simt Hum Nigaah Na Karen
Tumhi Ho Apne Or Milte Ho Gair Bann Ke Tum
Zulm Humpe Karen Lekin Iss Tarah Na Karen
Haan Ye Sach Hai Ke Bahut Vaadon Ko Toda Humne
Hum Koi Khuda To Nahi Hain Ke Khataa Na Karen
Gunaahgaron Ki Basti Mein Ek Ibarat Hai Dost
Sab Kuch Karen Magar Gunaah Na Karen
Sangdil Hain Wo Magar Ye Bhi Mumkin Nahi
Shayri Karan Ki Padhen Or Waah Na Karen