Zakham Apne Seene Ke Tumko Kabhi Hum Dikha Naa Sake
Roye Hum Aise Hain Ki Bebas Aasun Mere Aa Na Sake;
Yaad Karte Rahe Tumhe Hum Har Guzarte Shaam-O-Seher
Paas Apne Magar Tumhe Kabhee Hum Bulaa Naa Sake;
Tumko Dekha Toh Hum Apne Saare Ranj-O-Gham Bhoole
Hai Ri Meri Kismat Kay Tumhe Aaj Tak Hum Bhula Na Sake;
Roz Hotee Rahi Tumse Meri Jaani-Anjaani Si Mulaakaate
Par Kabhee Bhee Hum Tumko Kyun Aazmaa Naa Sake;
Geet-O-Ghazal Likkhe Meine Jo Teri Sitamgar Furqat Mein
Hum Sar-E-Mehfil Unko Kabhee Gungunaa Bhi Naa Sake;
Unhone Vaade Wafa-O-Mohabbat Ke Jo Humse Kiye The
Kisi Haalaat Me Woh Lapaar Shakhs Use Nibhaa Naa Sake;
Ab Kahein Kis Kis Se Apne Haal-E-Dil Ko Hum -ŗfarhana-
Hum To Chahkar Bhi Unke Dil Me Apni Jagah Bana Na Sake